Urdu Questions

Bimaar shakhs namaaz kaise parhe

Q:

1. Meri ammi jinki umar taqriban 68 saal ke he unke qabz ki wajah se letrin ki jagah zakham ho gaye he jisse unke bethne me takleef hoti he to kiya wo lete lete namaz, Quran Sharif parh sakti he?

2. Is bimari ki wajah se unka wuzu rah nahi pa raha to namaz qaza ho rahi h to kiya wo tayammum kar sakti he agar ha aur kiya tayammum me kapra se kar sakte he?

Mayyit ke gunaaho ko maaf karne ki ek ghalat tareeqah

Q: Hamara shehr me me ne aksar yeh dekha he ke kuch molvi hazrat mayyat ke liye heela karte he. Heela Quran Sharif ko le ke kiya jata he ek circle bana kar Quran mw kuch paisay rakhe jate he aur us ko ek dua parhne ke baad circle me mojood logo me ghumaya jata he. Logo ka manna yeh he ke is amal se mayyat ke gunah maaf ho jaye gi aur yani jo namaze rozay zakat apni zindagi me nahi de saka woh heela ke zaria hum ne pore kardiye khuda ke liye. 

Bache ke saath khelne se kiya hurmat-e-musaharah saabit hogi?

Q: Mera beta 7 months ka he. Mera beta zameen par laita hua tha aur me us ke saath gud guddy wala game khel rahi thi aur me us ke ooper khari ho gayi khelte khelte phir ek dum se soch aayi khud ba khud ke meri lower body mere bete ki lower body se touch horahe he, me phir foran se hat gayi. To is soch se me apne miya par haraam to nahi hui na?

Zameen ke ooper zakaat

Q: Me ne January 2018 me ek plot investment ki niyyat se khareeda tha jis ki price 450,000 he. Is ke ilawa mera ek plot instalments pe he. Is ki actual price 310 000 he jis me se 225 000 pay ker chuka he aur 85 000 baqi he.

Ab kiya mujhe zakaat dono plots pay deni hogi ya sirf ek plot pe jis ki cash payment ho chuki he?