Urdu Questions

Tanhaai me kehna "agar mujhe talaq deni hoti toh mein ye kehta..."

Q:

1. Agar koyi akele/tanhai mein apne aapse bataya karein ya muzakarat kare aur kisi purani baat ko leke wo ye kahe apne muh se ke agar mujhe talaq deni hoti toh mein ye kehta “muje tumhare sath nahi rehna aur talaq bolta” toh kya usse talaq hogi jabke niyyat uski sirf apne dimagh mein jo porani batein arahi thi.

2. Agar insan ko aisi baato ka khiyal ata hai aur usse nahi yaad ke usne kiya bat boli khud se muzakarat karte mein toh kiya usse talaq hogi? Bas dimagh mein shak paida ho raha hai jabke usko yaqeen he ke usne aisa kuch nahi kaha.

Rooh ki shaadi

Q: Eik bar mujhe jado karne walon ne kaha ke aap jis se shadi karna chahte hain hum us se aap ka roohani nikaah karwa dete hain. Aap qabool ha kehdiye ga aur us larke ki rooh qabol ha qabool ha kehdege. Mene qabool ha qabool ha kaha phir wo larka majood nahi na to usko pata ke usko mene qabool kiya ha to kia nikah hogaya mera ke nahi?

Baalon ko dafan karne ki jagah nahi he to kiya kare?

Q: Is it permissible for a person to dispose of her hair, unwanted hair, etc. in the toilet or dustbin? I've heard that one should not dispose of one’s hair by throwing it in the toilet or in a dirty place. Disposing of the hair in the toilet or dustbin is makrooh. Rather, one should bury the hair.

But the problem is that, aaj kal hamare area me mene khud suna bhi hai, ke khaas kar larkiyo ke baalon ko bhejte hai us par paisay unhy miltay hai. There is no such place in my house to bury my hair. Is soorat me kiya kiya jaye?

Shaadi ki rasmi ki wajah se shaadi me na jaana

Q: Hamare rishtidaaro ke yaha shadi h. Hamare yahaan 3 rasmain hote hain.

1. Mayo

2. Mehendi ki raat

3. Nikaah

Main shaadi me jana to nahi chahti, because of the sound system. Lekin ek masla jo mujhe pochna ta woh yeh hai ke mehendi ki raat me gaana, waghaira kaafi kuch hota lekin sirf auraton ki function me hi hota hai. I know mere ghar mujhe is baat ki permission nahi dengay ke me shadi me na jao. Iss soorat me kya karo?