Sajdah sahw kab parha jata he?
Q: Sajde sahw poori namaz ke baad kiya jata hai to kiya namaz ke baad aik aur rakat parke kiya jata hai ya phir namaz parke fori torse?
Q: Sajde sahw poori namaz ke baad kiya jata hai to kiya namaz ke baad aik aur rakat parke kiya jata hai ya phir namaz parke fori torse?
Q: Mere 5 bhai aur do behne hain aur meri walida mohtarma Alhamdulillah ba hayat hain jabke walid mohtaram wafat pa chukey hain.
Mere walid ke naam ek ghar hai aur kuch raqam hai. Ek adad gaari hai aur ghar ke kuch saman jo walid sahab ne kharide they wo hain.
Meri rehnumai farmaiye ke ghar walida ke naam hone ke baad aur sara saman bechne ke baad jo raqam hogi wo kis tarah taqseem hogi 5 bhaio 2 behno aur walida ke darmiyan?
Q: Mere husband nay mujhy 2014 me zubani aik talaq di, uska koi tehriri saboot nahi tha, phir rujoo hogaya. Phir 2017 me aik notice bheja jis pe first notice likhwa tha, phir rujoo hogaya. Phir 2019 me aik notice bheja jis pe talaq dome likha tha. Hum samjhay ke 3 hogae, magar ab wo kehta hain ke abi 2 talaq hoi han kyun ke meiny mufti or wakely se mashwara kar ke pehle notice bheja tha us talaq ka tehriri saboot jo ke zubani di the, kyun ke agar mein ny us notice me ye nahi likha ke aik zubani di ha ab ye bhej raha hon, ab kitni talaaq hui?
Q:
1. Agar koyi akele/tanhai mein apne aapse bataya karein ya muzakarat kare aur kisi purani baat ko leke wo ye kahe apne muh se ke agar mujhe talaq deni hoti toh mein ye kehta “muje tumhare sath nahi rehna aur talaq bolta” toh kya usse talaq hogi jabke niyyat uski sirf apne dimagh mein jo porani batein arahi thi.
2. Agar insan ko aisi baato ka khiyal ata hai aur usse nahi yaad ke usne kiya bat boli khud se muzakarat karte mein toh kiya usse talaq hogi? Bas dimagh mein shak paida ho raha hai jabke usko yaqeen he ke usne aisa kuch nahi kaha.
Q: Hamare yahan ye kaha jata hy ke jab tak bacha maa ka doodh pee raha hy tab tak us ka jhuta maa baap dono na peeyen. Is ke bare main shariyat kiya kahti hai?
Q: Mujy ek larki pasand hy. Kuch din pehly hum log baity howy thy to main ny ghussy mia us sy kaha ky main hosh wa hawas my keh raha ho ky agar maira nikah aap sy howa to aap ko use waqt 3 talaaq hoge. Ab mai us sy nikah karna chahta hu to is ka hal batay please.
Q: Agar koi shakhs kisi gunnah me mubtala hai or dosra shakhs janta ho to is soorat me us doosre shakhs ko kiya karna chaye? Matlab kiya usay, us gunnah ka parda rakhna chaye? Yah phir usky parents ko bata dena chaye.
Mene yeh suna hai ke jo shakhs kisi muslman ka aib chupae ga qayamat k din Allah Ta'ala uske aib chupae gay.
Q: Eik bar mujhe jado karne walon ne kaha ke aap jis se shadi karna chahte hain hum us se aap ka roohani nikaah karwa dete hain. Aap qabool ha kehdiye ga aur us larke ki rooh qabol ha qabool ha kehdege. Mene qabool ha qabool ha kaha phir wo larka majood nahi na to usko pata ke usko mene qabool kiya ha to kia nikah hogaya mera ke nahi?
Q: Agar khawind se biwi ki hi behen ke sath koi gunah kia ho aur bad mai biwi ko pata chala hai. Biwi ke sath ke 2 bache he or biwi ke huqooq poora kar raha he lekin gunah ke bad ab biwi kiya kare? Biwi ki maa ka kahna he ke chor do usko. Aisi surat mai biwi ke liye kiya hukam he?
Q: Kya durood paak bed per let kar par saktay hain?