Urdu Questions

Quraan Shareef ko bhool karne ki saza

Q: Ager koi kisi bache ko zaberdasti Quran hifz kerwae jab k wo bacha na kerna chahe lekin logon ki baton mein aker kerle or yaad ker k bhool jae ese case mein kia hota kia saza hogi roze akhrat mein ya koi kuffara he bhool jaane ka kyon k wo bacha nai kerna chahta tha lekin logon ne kaha kerlo ek dafa bohot sawab or usne ker bhi lya lkn ab 10 saal baad wo bhool geya he

Aayat ki tafseer zina karne wala aur zina karne wali ke baare me

Q: Allah ne Quaran m farmaya hai ki jo zinakar hoga uski biwi bhi zinakar hogi, ar Esa Quran m hai to saudis sab hazraat shadi s pehle virginity k liye medical test kyun karwate hain? Agar koi aadmi zinkaar hai to jisse wo shadi karta hy phir to us aurat par shaq k khayal ayega bcz Allah ne faramaya h ki jo zinakar hai uski wife bi wasi milegi? Ar agar esa Allah n nhn farmaya to phir log esa kyun bolte hain....ya phir quran m exact surah & aayat number batane ki mehrbani kren. 

Nifaas ki muddat

Q: Mera pehla baby hai. Mai nifaas me hu. Mujhe 20 din me nifaas stop hua phir 39 ve din me mujhe haiz aagaya... maine 40 days me nifas ka ghusl karna tha ab uske ek din pehle haiz aagaya jab ke nifaas ka ghusl nahi utra... ab kya hukm hai?

Zakaat ka khana khana

Q: Me apni shop ki roz ki kamai ki zakat nikalta hou and ho paise jama ho jate hai tu us ki khane ki deg banwa k khana bant deta hou tu kya us me se hum kha sakte hai ya nahi?

Or agar nahi kha sakte tu un paiso me apna normally paise mila k banwai jaye yani dukan ki kami ki zakat or apne normally paise mila k deg banwai jaye tu us me se phir thora khanna nikal k kha sakte hai or baqi bannt dy tu kya bhether hai

Meerath ki taqseem

Q: Walid ki death ky bad unky GP fund aur benevolent fund mai aur kisi b kisam ky rent main jo hum apni property sy wussol kr rahe hain us mai ba hayat taya aur phupoo ka koi hissa hota hai ya nai.. jab ky marhoom ky waldain ki death ho chuki hai aur bivi hayat hai . 5 baitiyan hain jab ky baitha koi b nai hai.