Urdu Questions

Dobarah nikaah karna sab ke saamne

Q: Larka larki nay chori chup k nikah kiya howa hai mgr ab larka or larki k ghar walo ki razamandi ho gai hai pr ab wo dobara nikah sub k samnay shadi ki surat mein krwana chahtay hain kya nikah dobara jaiz hai? wohi nikah pehlay chup k kiya tha mgr ab sub k samnay krna chahtay hain.kya dobara nikah jaiz hoga ya ni?

Musjid ka paisa ko istimaal karna

Q: Hamare paas masjid ki kuch rakam thi jise masjid ke yani Allah ke ghar ke liye kisi ne diya tha. Hamne wo rakam bohat majboori aane par istimaal kiya is niyyaat ke saath ke jaise doosre paise jama ho jayenge wo paise me waapas doongi. Kya aisa karna gunaah ya haraam he? Aur aaj wo paise bhi aagaye or me ne dediye.

Biwi ku apna haqq-e-mahr se mahroom karna

Q: Agar larki apnay maikay mai apnay ghar walon se milnay k liye ayi hai aur isi doran mian biwi ka jhagra ho jata hai aur shohar biwi ko wapis ghar lanay se inkar kar dey aur us se rabta bhi khatam kar dey jub k biwi baat karna chah rahi hai aur shohar baat nahi kar raha larki k ghar walay samjhayen bhi par phr b larka na manay aur is sorat hal ko kafi waqt bhi guzzar jaye phr bhi larka rabta na karay aur phr tng aa kar larki k ghar walay talaaq ka mutalba karen tou kya is surat mai larki ko haq mehar wapis karna paray ga q k larkay k ghar walay kehtay hain talaaq larki ne mangi hai is liye wo haq mehar ka haq nahi rakhti jub k shohar biwi se na baat karta hai na milnay ata hai aur na he jhagray ko khatam karnay ki khoshish karta hai..aur talaq k mutalbay k baad talaq denay par bhi razi ho jata hai par haq mehar wapis mangta hai tou kya aesa karna sahi hai?

Waalid ke wafaat ke ba'd shirkat me kitna hissa milega?

Q: Mery walid sahib ne hal hi mein wafat pai hy. walid sahib ne aik rawalpindi city mein mery aur apny paison se aik set tehmeer kerwaya tha. aur apni wafat tak us ka karaya wo khud laity rahy. aur wo aksar kaha kerty thy ke meri wafat ke bahad ye set es (mera) ka hy. ab agar abtak ka karaya calculate kia jay to jitny paisy unhon ne shamal kiay thy karaya us se zaida banta hy. shari lehaz se ab is ko taqseem kaisy kia jaiy. jab ke karaya muj per istehmal nahi hoa kion k mein alag rehta hoon.

Nikaah ke ba'd pata chalana ke biwi haamila he

Q: Mera nikah hua tha aik larki se. Jis k baray m mujhe shadi k 2 months bad pta chala k wo pregnant thi pehlay se. Mujhe nhi pta tha es chez k baray m. Meri shadi ko 3 months guzray wo larki apnay ghr chli gai bina btai aur us n wahan ja k bacha zaya krdia, us time us bachay ki umar 6 months thi. Wo boy tha jo unho n zaya kr k dafna diya aik qabristan m. Ab mera sawal ye h k kiya ye nikah jaiz hua ya haram aur kiya mere upar gunah ata h zina ka? Aur us larki p kiya gunah h aur kiya m gunahgar hua? Meray sath dhoka hua h.

Commission lena

Q: May ek private job karta hon jis ka kam purchase ka hai dar asal may import karta hon China se or muje China waley import karne ki commission offer karte hain muje mera idara sallary b deraha hai kiya ye commission mere liye jaiz hai or may rate me b rado badal nahi karta jo rate muje milte hain use me b kam karwane ki koshish karte hon or jo rate final hote hain my apne boss ko de deta hon kiya es soorat me mere liye ye commission lena jaiz hai k nahi?