Kin cheezo par zakaat di jati hai?
Q: Mera sawal yeh tha ke zakaat kis kis cheez pr di jati hai. Or agar mene koi property business ki niyat se ki hai us par bhi zakat hoti I mean dukan leker profit pr bechene ki niyat se
Q: Mera sawal yeh tha ke zakaat kis kis cheez pr di jati hai. Or agar mene koi property business ki niyat se ki hai us par bhi zakat hoti I mean dukan leker profit pr bechene ki niyat se
Q:
1. Mujhe aap se yh puchna tha kh agr koi unmarried shakhs ksi married women se zabardasti zina kre or is se unki ek illegitimate child (daughter) peda ho jb kh us aurat ka shohar na mrd ho aor wh aadmi apni bivi ko bd krdar smjh kr talaq de de to us beti ki attribution ks se maani jaegi uske bioligical father se ya phir apni walida ke shohr se as to this hadith, "Bacha usi ka js ke bstr pr peda hua aor zaani mhrom hai"... And us bachi pr illegitimate child pr uske biological father (zaani) ke kya huqoq honge kya wh apne illegitimate child ko apni beti keh skta hai? aor uski beti apne biological father ko baba keh skti hai? aor agr wh bachi trouble me ho means ghlt haathon me prh jae is wajh se k uske sr pr baap ka saaya nhi ha to kya uska biological father uski madad krskta hai? is waja se ke wh uski beti hai. kya wh us se muhbaat krskta hai? ya phir wh us se blkl la taluq reh jese uske illegitimate child se uska koi taluq nhi.
2. Kya wh shkhs (zaani) apne gunah se tauba krne ke bad usi aurat se shadi krskta hai js se usne zbrdsti zina kya jb ke wh aurat bhi us se shadi krne ke lyie tayar ho or kya unki beti bhi unke sath reh skti hai? is this marrige valid?
Q: Mujhe hamesha sharamgaah se discharge hota he kabhi ziyaada aur kuch din kam discharge hota he. Aur sharamgaah se bohot ziyaada bad boo aati he kabhi ziyaada bad boo aati he kabhi kam ye qudrati he jo bacteria ki wajah se hota he aur paseena aur sharamgaah ki nami ki wajah se hota hai.
Mera sawaal ye he ke kya sirf sharamgaah ki bad boo ki wajah se ghusl toot jata he? Jab ke mujhe poora yakheen he ke neend ke douran na hi koi ihtilaam aur na koi shahwat thi. Yaqeen he ke ye wohi safed discharge he jo aam towr par nikalta he ihtilaam aur shahwat ke beghair. Kya ghusal karna wajib he ya sirf wudhu kaafi hai.
Q: Main kisi shakhs k lye wazifa parhna chahti hon uss k lye uss ki mother ka naam uss wazeefe ma hona zaruri ha lekin mjhy unki mother ka naam nhi pata. To mjhy kya kerna chahye. Kya main unki mother name ki jagah Amma Hawa (R.A) ka naam bol sakti hon.
Q: Agar me napaak hu aur mere kapre bhi napaak ho aur kapro me geelapan ho aur me bistar pe beth jaati hu ya so jaati hu to wo bistar bhi napaak hojaega? Agar napaak kapre ke geelapan se bistar bhi geela hojae to kiya wo bistar bhi naapak hojaega?
Q: Kissan credit card saheeh hai Muslim ke leye?
Q: Shohar ka soteeli saas k sath nikah jaiz hai ya najaiz? Soteeli saas ka shohar matlb shohar ka sagga sussar mar gya hai mgr saggay sussar ki bayti bivi hai shohar ki pr bivi ki maa soteeli hai tou kya shohar ka soteeli saas sy nikah jaiz hoga ya na jaiz?
Q: Me jab namaaz parhta ho to aksar aisa mahsoos hota he ke reeh khaarij ho rahi he. Aur me us ko khaarij nahi hone deta. Is pareshaani ka kya raasta he?
Q: 10 12 sal phly ki bat ha tb main college mein prhti thi. eak dost k galt character ki wja se meri zindgi mein bht sangeen masla paida ho geya tha. to tb ma ny manat k tor pey ye lafz boly thy k shadi key bad jo phli olad ho gi ma use shah dowla drbar pe dun gi jo gujrat me drbar ha. shadi se phly phr mje 1 din khawab me dkha k jis jga drbar ha. whn 1 bazurg or us k sath eak aurat thi wo us jga lety huy hn or ma nichy baithi hui hun unk pas to wo mje bolty hn key Allah tume bht rang lagaey ga or phla tume beta dy ga. pr usk dood pilai k paise hme dy k jany hn ab shadi ko 5 saal ho gy hn . olad abi tak nahi ha. drbar pe ja key un se mafi bhi mangi thi. or Allah tala se b mafi mangti hun. such puchein to us wqt olad kea cheez ha itni smj nai thi. tb aise bola tha ye lafz istemal kiy thy. k phli olad ko shahdowla drbar pe dun gi. ap mje bataein kea kru? kea aise manat manna thk ha?? kea manat wapas li ja skti ha. agr han to uska trika bta den. ya meri rehnumai kren. Allah apko eska ajar dy ga. meri preshani dor frma den.
Q: Kya aik musalman esai mazhab ma apni dua karwany ja sakty hain ya jaiz ha jahan un ki dua ho or matlab ye k ao any liye dua karwa y wahan ja sakty hain.