Urdu Questions

Eela ki qasam khaane ke bad kitne talaaq baaqi rehe gi?

Q: Agar kisi ki rukhsati nahi hoi or khalwat-e-saheeha bhi nahi hoi ho or shohar ne eela ki qasam kha li or uske bad 4 mahinay guzarne se pehle hi biwi ko aik talaq-e-bain di or jab tajdeed-e-nikah krne kay bad humbistri kren to kitni talaq baqi reh jaen gi?

1. Agar eela ki qasam khai thi jis din us din se le kr 4 mahinay k ander ander talaq or tajdeed-e-nikah or humbistri krli?

2. Jis din eela ki qasam khai thi or talaq di thi us k 4 maah guzarne ke bad agar nikkah or humbistri kren to kitni talaq baqi rahen gi?

Allah Ta`ala ki zaat ko poocha nahi jaata

Q:

1). Mera sawal hai ke Allah Ta`ala ku har cheez ka ilm hai, aur Allah Ta`ala ko is baat ka bhi ilm hai ke kounsa insaan Islam qubool karega aur kaun nahi aur koun kya karega achhe kaam, bure kaam, toh jab Allah Ta`ala ku sab maloom hai kaun Jannat me jaayega aur kaun jahunnam me toh phir insaan ko paida kyu kiya? Aur jo Islam qubool nahi karenge phir unko saza bhi hogi!

2). Baligh hone ke baad agar koi ghair muslim Islam qubool nahi kiya toh saza hai. Toh jab baccha baligh hota hai (14 years ) toh tab usse utni aqal nahi hoti ke wo ye samaj sake ki kaun sa mazhab sachha hai aur kounsa galat aur agar jab hi uski maut ho jaaye yani wo baligh hua aur 2-3 mahine me mar gaaya toh kya usko bhi saza hogi? Kyunke wo toh jab hi baligh huwa hai aur jab baccha utna ghaur o fikr nahi karta.

Do talaaq

Q: Ek din mera aur mere husband ka jhagda hua. Maine gusse me unse talaq mang li unhone kaha "thk h maine de diya" but unhone talaq ka word use ni kiya aur na unki niyat ti dene ki to kya usse talaq ho jaygii aur iske thodi der bad mere husbnd ne do bar mere mangne pe bola k "maine tmhe talaq diya" To kya talaq ho gyi?

Hum log isko do talaq smjh re te phle wale pe dhyan ni diya ta bad me khayal aya k bgair talaq ka alfa bole b takaq ho jata h. Kya phla wala lafz kinaya me ayga ya teen talaq mani jaygi ab plzz masle ka hal btaye