Urdu Questions

Office ko photoshoot ke liye kiraayah par dena

Q: Hamare paas ek jagah hai office space jiske malik ham hai aur wo abhi khali padi hai...rent pe gayi nahi hai...Ek aise shaks aaye hamare paas jo production house mai kaam karte hai unko jagah rent pe aise chahiye per day ke hisab se jabhi wo office space istemaal kare..Unke kaam ki noiyat aisi hai ke wo photo shoot karte hai aise models wagerah ka logo ka jise tasveer nikalni hai aksar to vo digital tasveer nikalte hai to ye rent pe unko dena hamare liye halal hoga ya nahi? Kya ham unhe office rent pe de sakte hai?

Bare bhai apne chote bhai ka sara kharch karna

Q: Mere shohar apne behn bhai me sab se bare he. Maa baap ka inteqal ho chuka. Jab sab alag huwi to hamare hisse me chota bhai aya jo ke student tha. Jab tak wo student tha hum ne uski khurak har cheez ka khayal rakha. Ab masla ye he ke pichle 2 saal se uski perhai khatam he aur wo job kar raha he phir us ke bawujood wo apni khurak kapre dhona istri waghera pe koi kharcha nahi karta sab bhai bhabhi se karwata he aur uski koshish yahi he ke uski khurak ka sara kharch bhai hi kare.

Mujhe shari tor pe bataye ke ab uska bare bhai pe free me rehne khane ka haq he ya nahi jab ke wo pichle 2 saal se job kar raha he phir ghar me 1 rupay tak kharch nahi karta even apni khud ki khurak nashte waghera ke liye bhi nahi kharch kerta. 

Akela namaaz parhne se jamaat ka sawaab nahi milna

Q: Me aik department me job karta ho jaha namaaz ki ijzat masjid me ja kar parny ki ijzat nahe, albatta ye ijzat zaror hy ke office me rehty hoay namaaz ada ki jaskti hy magr wo bhe tanha.

Pochna ye hy keh: mera akelay namaaz ada karna aur masjid kay alawa namaaz parna kaysa hy? Is sorat me bajamat namaaz ka sawab milyga ya nahe aur namaaz ada hoge bhe ya nahe?