Urdu Questions

Khwaabo ki ta'beer

Q:

1. Mene khuab main dekha ke main apna or apne bhai ka shadi ka card dene jarhi hoon lekin haqeeqat main hum dono main se kisi ka bhi kahin rishta tay nahi hua hai to is khuaab ka matlb kiya hua?

2. Saath hi mene dekha ke bohat taiz barish or pani ke fuwaare chal rahe hain or ek white colour ki light us barish se guzar rhi hai. Iska matlab batayein.

Anal sex

Q: Kiya ager biwi k dubar me, yani anal sex kar liya ho dono ki raza mandi par tu kiya nikah tuth jata he. Mujh se gunnah howa he tu kiya is me nikah tooth jata he?

Bachcha tanki ke andar peshaab karna

Q: Hamare bachche ne jis ki umar saare teen saal he us ne tanki ke dhakkan pe chota peshaab kiya. Dhakkan band tha lekin corner ki jaanib se wo ris ke andar ja sakta aur tanki me paani bhi kam tha. Hum paani ke truck se laate. Din ko ya shaam ko hum ne paani truck se paani bhar liya tanki me. Ab kiya us paani ko istimal kiya ja sakta he. Bachche ko peshab karta dekha nahi kisi ne bus tanki ka lohay ka dhakkan pe dhaag sa andaza lagaya he ke shaayed bachche ne peshaab kiya he. Ab kiya hukam he.