Urdu Questions

Khwaab ki ta'beer

Q: I have seen a dream that ma aur meri wife aur bhabi thae tu bhabi meri wife ka lia rishta dhond rae thai shadi ka lia aur ma endar hai endar bhouth weeping kar raha tha ma. phr meri bhabi khehti hai es na (my wife) kha falah larka ka dehko. tu ma bhouth dhuki tha.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mein ney apny khuwab me apny mehboob ko ksi or k sath zinah karty dekha hai, or wo dekh ker mein bht afsudrah hun or mera mehboob mjhy dekh kr halki se muskurahat dy rha hai. me apny is khuwab ke tabeer jan'na chahta hun.

Khwaab ki ta'beer

Q: Kisi aurat ne ye khwab dekha h ke unki ger shadi shuda beti mere ghar me h aur wo ghar kafi bada h lekin ghar ke munasbat se pode or fulwari wagera km h. Bad me unki beti ne pure ghar me khubsurat pode lagay h or ghar kafi khubsurat ho gaya h.

Logo ka qaraz adaa karna

Q: Manay kuch logon ka pesa dena ho aur mamlat poranay hogae hon. Ab in logon ka thikana contact nahi meray pas. To kistrah ye qarza maaf hoga kisko don wo pesa k akhrat mai mujh par pakar na ho. Aur ye btain agar meray qaraz ada karnay say phelay logon ka haq ada karnay say phelay mai agar dunia say rukhsat hota hon to kya bad mai lawahkeen mai say kui wo qaraz ada kar sakta hai aur kesay ada hoga jab k kisi ko na pta ho k kisko denay hain.

Waalidayn se mashwara karna nikaah ke baare me

Q: Mujhy ik masla baayan karna tha, masla meri shadi ka ha, ik larky k sath meri razamandi, meri khawsih b ha k meri us sy shadi ho, or us ki taraf b yhi mamla ha, us k ghar waly raazi hain, ab masla yh ha koi rasta nazar nai araha k kis tarah apny ghar walo us k bary m batao k wo rishta lana chahta ha, yh koi esa zariya paida ho jis s asani ho, meri rehnumai karein bhot zada pereshan ho, Allah n chah tu ghar waly raazi hojayn gy, lkn koi zariya paida ho jis s wo rishta ly k asky ghar tk, Allah ka shukar ha meri yh soch nai ha k khuda na khausta maa baap k khilaf ja k shadi karo us s, maa baap ki raza mandi s hi shadi karna chahti ho lkn koi rasta smjh nai araha, mujhy in sb kamo ki asani k lye koi wazifa bta dein.

Mazi ko kapre se dhona

Q: Mard ke sharam gaah se jo paani sa nikalta he shuru me jab mard thori khaahish ubharti he jis ko mazi kehte he uske baare me or jo wadhi nikalti he uske baare me batayen ke kis haalat me kya karna chahiye kaise kapre dhona chahiye ya mazi nikalne par ghusal karna chahiye? Aur agar ihtilaam huwa to kitne kapde dhone chahiye sirf neeche ke kapre dhona sahi he ya badan ke saare kapde dhona chahiye chahe wo gande ho ya na ho.