Urdu Questions

Zakaat owr sadaqah

Q: Me apni mali pareshani door karny ke liye apni salary se har month kuch pesa nikalna chahty hon, taky jo bhi mali pareshani hy woh door ho. Aap yeh batain ke yeh pese kis tarhan or kis niyat se nikaly jayen gay. Aya ZAKAT ki niyat se ye SADQY ki niyat se. Or kia har month nikalna zaroori hy ya saal me ek dafa. Agar har month nikaly jaye to us me koi harj to nahi hy. Main pehly se 2.5 % (Dhai Fesad) nikalta aa raha hon apni salary ka jo mustahiq ko jata hy. Magar phir bhi haalat wese hi hain or abhi tak ZAKAT ke naam se nikal raha tha. To kia woh tarika ghalat tha? Kia yeh pese sadaqay ki niyat se nikalny chahye thay or koi or tariqa ho to woh bhi bataye.

Namaaz main gande khiyaalaat

Q: Mujeh namaaz main gandeh khiyaalaat aate hain or galiya nikalti hain. Main apne dhiyaan ko khob contorol krta hu. To nahi hota waju banata hu to khayalat or dil me kisi ko dekh kar gali nikala krti hain. Or mujhpar bhot jimmedari aagai he to meri rozi roti bhi ni jam pa rahi hain. Aap meri kuch madad kr sake wajifat sain amal se to jarur kijiye main nek or parehzgaar banna chahta hu.

Pareshaani owr musibatein

Q: Meri shaadi se pehle hi se her kaam mein nakamiyab raha. Aaj meri umr 60 saal ki hai, abhi tak pareshan hoon. Mera ek hi larka hai jo bachpan hi se bimar hai. 40 saal se mirgi mein mubtala hai. Meri larki shaadi nahi ho rahi hai aur na hi daulay hai. Tamaam umr duaein karta raha, wazife parta raha, lekin musibatein aur barh jaati hai.namaaz aur tilawat kerne se bahut zayada musibat ho jaati hai.Madad chahta hoon. Karam farmaein.

Gande khiyaalaat

Q: Mujhey har waqt gandey khayalath aur gandey sonch aa rahe hai. Ussey kaisey bachey kyun ke jab bhi woh gandey khayalth aur sonch aaarahe hai my merey nafs khabu nahi kar raha hoon, yaani namaz me har waqt aa rahe hai. Iskey liye Dua ya phir kuch aur tareekah issey bachney ke liye.