Urdu Questions

Miscarriage ke bad umrah karna

Q: Me visit visa par Saudia aayi hu. Yahan mera miscarriage hogaya he 20 Oct ko. Muje wapis Pakistan jana he 25 Nov ko. Me 30 days ke bad Umrah kar sakti hon ya 40 din tak me Umrah nahi kar sakti? Agar mujhe bleeding ruk jati he to kiya me 40 din se pehley Umrah kar sakti hon? Mera miscarriage 18+ weeks me huwa he according to ultrasound.

Meerath ki taqseem

Q:

1. Meri ammi ka intaqal ho gaya hai kuch mahine pehle. Unka gold hai. Jab woh zinda the to kaha tha mere baad meri betiyon ka hai. Ab woh kaise taqseem karen? Bhai ka kya hissa ho ga?

2. Unho ne kisi ko qarz dia tha aur kaha tha agar me zinda rahon to mujhe dena warna meri 4 betiyon me baant dena. Is ke bare me please wazahat farmaye. Kya is me se bhi bhai ko dena hai? Kya bhai ke 2 hissay aur bahen ka 1 hisaay ke hisaab se hi taqseem ho gi? 

Kisi cheez ko bhejna jo apni milkiyyat me nahi he

Q: Online business jis me aurte kapre ki tasweer dekha ke kapre sale karti he. Aur uska tareeqa ye hota he ke apne paas stock nahi hota, kisi aur se tasweer lekar aage customer ko dekhayi jati he aur phir jab customer confirm karta he aur payment bhejjta he to usko product mangwa ke dedi jati he. Apne pas stock mojood nahi hota. Kiya is tarah se business karna jaiz he?