Urdu Questions

Khwaab ki ta'beer

Q: Mere sawaal apsa yeh ha ki main khwab subha ko dekha ki mere shohar muje aur mere baccho ko chodh dusre ladki ki pas jate hain muje bhut rulate hain aur mujhe bhut rona aata hai. Mufti sahib mein usladhki ko jante hoon aur pehchanti b hoo aap pls aapsa guzarish hey ki aap mere khawab ki tabeer jalde baatein aur koi masla b bole.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mai nay kal khwaab may dekha ke 13 dost hotay hain. Wo sub akser ek tahkhanay may jama ho k shugal lagatay hain in may larkay or larkiya mix hotay hain. Lakin phir usi tah khanay may un may say ek dost apne sub dosto ko bari bari maar deta hai..or un sub k tukray tukray ke k alug alug boxes may jama ker k rukhta hai.jub akhri do dost rah jatay hain to wo thora idher udher hota hai to wo dost apni jaan bacha k bhaag jata hai ..lakin katil dost phir usko paker leta hai ...katil dost phir thor sa idher udher hota hai to phir wohi dost bhaag jata hai or bhagta bhaagta kuchi abadio may pohanch jata hai.jaha chotay or kuchay Matti k gher banay hotay hain waha ek Dari wala admi usko dekhta hai or bolta hai tum kafi ghabraye huay lagtay ho samnay masjij hai waha ja k dua kro gay to tumhay sakoon milay ga..jub wo masjid me thora waqt guzar ker bahir nikalta hai to usay apne maray huay dosto me say ek dost sabzi bechta hua nazer aata hai ..wo usko apni taraf bulata hai or usay apne gher le jata hai...waha wo sabzi wala apne sub dosto ko ikutha kerta hai to wo sub dost wohi hotay hain jinko katil dost nay maar diya hota hai ..lakin Jo katil dost hota hai wo itna chota nazer ata hai k sub k foot se b chota hota hai....phir fajer ki azan ho jati hai or meri ankh khul jati hai.... Kuch ajeeb sa khab hai.. na to mai asay dramay dekhti hu or na asa sochti hu .or na he mere itnay dost hain..ager is khawab ki koi Tabeer hai to aap muje plz reply kerain .mai bohut upset hu is khab se.....shukriya .jawab ki muntazir

Khawaab me maut se muraad

Q: Me ne khwaab me apne papa ka janaza dekha. Me dulhan bani hwe hun lekn shadi meri nhi hai m ksi k ghr dawat m gae hun dulhan bn k air samne khrki se mjhe nazar arha janaza air aik kabar m dalte haon phr unhe khench k dosri kbr m dal rhe hain.

Musalmaan mayoos nahi hona chahia

Q: Mujhe khwab ki tabeer jaani hai. Khwab ye hai k Mn khud ko bht baray samandar k kinaray dekhti hun .. shaam ka time hota hai .. mn bht azaad aur khush hoti hun aur samandar mjhy bht pasnd hai .. mn samandar k kinaray chal rhi hoti hun aur wahin aik pathar nazar aata hai mjhy .. mn wahan jaa kr beth jaati hun aur apne paun neeche samandar pe latka deti hun .. mjhy bht acha lg rha hota hai.. mere paun bheeg jatay hain sb .. phr aik dam se paani k saath black kaikray (crab) aana shuru ho jatay hain .. aur paani ki lehron k saath saath wo barhtay jatay hain .. aur mere paun k saath takranay lg jatay hain .. mn ghabra jaati hun.. kch mere paun pe uppar chalne lgtay hain aur mere chilatay hwe apne paun peeche hatati hun aur wahan se uth jaati hun.. is k bd aik aadmi nazar aata hai wo bh wahin hota hai .. mn us se bh ghabrati hwi wahan se door chali jaati hun aur aik jhonpri k peeche chup kr mn phr geelay kapre change krne lgti hun.. aur saath he ro rhi hoti hun.. lekin is pooray khwab mn .. mn udaas he thi .. jese pehle smandar k paas ayi wo bh udaasi mn.. bs yahi khwab tha apki meharbani hogi k ap mjhy iski tabeer bta den .. Shukria .. Allahfiz.. Fi Amanillah .. Plz dua kijyega mere aur mere achay naseeb k lye .. jo mere haq mn behtar ho Allah mjhy wo ata kren .. Ameen ..

Khwaab ki ta'beer

Q: Mai last year dar gayee maine kisi kaaley aadmi ko dekhaaa. Grey chehra..mai bohot darr gaye..abbb waisa hi aadmi parsu c 3 bhaare khawb mai aata hai..bhada kaala aadmi mai jaise chilati hun k mujhe marna hai..jaise jaan nikaalta hai but mere jaan nai nikaltee.. abb dekha ajj b koi kaala aadmi dekhraha hai..mai khawb mai dekhti hun usko aur chilaate hun k mujhe marna hai..aur mere mama boltee hai ki ye hum logun ko bi dikhraha hai..magar andhera aur kaala aadmi sirf dekhtee hun... mai kya karun ..plz bolye..mujhe sab bolte hai ki tumko jinn hai..

Shaadi me pareshaani

Q: Mera masla mere husband se related hai. Hamari shaadi ko do saal hogaye hain, mai unse boht mohabbat karti hun lekin ab tak wo understanding nahi hui. Wajah ye hai ki mai boht deendar family se belong karti hun jahan parde ka aur allah ke tamam ehkam ka aehtimam kia jata hai lekin mere sasural uske baraks hai shohar ek multinational company me job karte hain jahan ladke aur ladkiyon me koi farq nahi hai aaye din party disco trips waghaira chalte hi rehte hain.. Mai unhe samjhati hun lekin wo kehte hain ki wo kisi ke liye change nahi ho sakte mujhe aise hi accept karna hoga. Sasural me namaz ki pabandi nahi hai mai pregnant hun mai chahti hun meri aulad deendar ho aur mere shohar ko b hidayat miley.. Baraye meherbani is masle ka hal bataden aur koi dua ya wazifa bhi.