Takhno se upar shoes pehenna
Q: Musalman agar takhno se upar honewali shoes pehenna kiya ye jaiz he?
Q: Musalman agar takhno se upar honewali shoes pehenna kiya ye jaiz he?
Q: Wudhu karke agar farsh par jo normally grey color ka hota he ya tiles par geele paon rakh diye jaye to kiya paon napak hojaenge?
Farsh par bathroom se geeli chapal layi jaye ya koi napaki lag jaye to farsh sookh kar jab ke napaki sookh ke nazar na aaye to paak hojata he ya nahi?
Q: Travelling karte huwe bohat logo ke beech me Quran ka Urdu translation parhna aur sunna mobile se galat he kiya?
Q: Me ne ek maah pehla apni wife ko shari zubaani aur tehriri qanuni talaq de chuka hu magar wo zabardasti mere room ke barabar wale room me rehti he. Ghar chor kar nahi jati. Bohot bar bola bhi he. Uska taluq fiqa Jafria aur mera Hanafia se he. Kiya shariyat ke mutabiq isi tarah zabardasti reh sakti he ya ghar chorna hoga?
Q: Mere ma sunni he lekin shiya logo me pali bari he. Walid bhi sunni the magr unho ne bhi kabhi majlis me jaane se inkar nahi kiya hume. Aaj bohat se log mujhe ye kehte he ke shiyao ki majlis me jana gunnah he. Aap please mujhe Quran o Hadees aur Islam ki roo se saheeh taleem bataye ke kiya me majlis me ja kar ab tak gunnah kamati rahi hu?
Q: Jaisa Allah Ta'ala Quran me farmata he ke shaheed zinda he, kiya aisa Hazrat Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) ka bhi he Quran me ya ye fazilat sirf shuhada ko hasil he?
Q: Agar aurat apne shohar ki nafs se farigh nahi horaha ho to kiya shohar usko haat se farigh kar sakte he?
Q: Kiya biwi ki sharamgah ko kapra rakh kar muh aur lips and nose touch kar sakte he?
Q: Mera nikaah huwa. Doosra din mere shohar Australia ja rahe the to jaane se pehle mere ghar aaye the sab se milne. To thori der me apni shohar ke sath drawing room me bethi thi magr darwaza khula tha aur koi bhi asakta tha. Mere shohar ne mujhe kiss kiya aur galay se lagaya magr sex nahi huwa hamare beech. Phr wo chale gaye. Ek saal bad mere ghar walo ne mere shohar ko talaq dene ko bola unko sahee nahi pata tha ke talaq kaise di jati he to unhone mujhe sms par likha AP azaad ho azadi azadi azadi magr unhone bola meri talaq ki niyyat nahi thi wo neend ki goli khai huwi thi or subah unko yaad bhi nahi tha. Depression me neend me huwa phir ghar walo ne unhe talaq ka tareqa bataya aur unhone mujhe sms me aur voice message par talaq di ke me falan tumhe talaq deta hu esse teen bar haha voice message par aur sms par likha.
Ab ye pochna chahati hu ke kia mujhe iddat hogi? Aur hum wapas nikaah kar sakte he bagair halala ke? Kiya 3 talaq hogayi he?
Q: Nokar agar aap ke qeemti kapre chora le to saza ke tor par uski tankha kaat sakte he?