Urdu Questions

Na jaaiz talluqaat

Q: Aik larki jis sy zinnah huwa tha aik saal phly usny Allah se bht mafi mangi aur us gunah sy toba kar li usky bad us larki ki zindgi me aik aur larka aya jo us sy nht pyar krta tha unki 5 6 mnths sy bht achi understanding thi unky darmian zinnah ky ilava takreban sab ho chuka tha(kissings hugging etc etc) wo bus zinnah jasy gunah sy ruky hvy thy aur wo nikkah ky ey tyar thy mgr kisi trha us larky ko us larki ky gunh ky bary me pta chal gea jab us ny larki sy pocha to us larki ny apna jurm kabool kar lia aur us sy mafi bhi mangi larka ab bhi us sy bht pyar krta hai aur ye janna chahta hai ky kia ab wo ye sab janty hvy us larki sy nikkah kar skta hai ya nai ? Islam kia ijazat deta hai ya nai? Aur agr islam ky mutabik saza kat ly to tab kia hukam hai us sorat me bhi nikaah hoskta hai ya nai? Meri guzarish hai ky sahi rasta btaya jaey jo quran aur sunnat ky mutabik ho.

Salma naam rakhna

Q: Meri girl baby paida hui hai, jiska date of birth 10/10/2014 (11.17 AM) hai. Iski ammi ka name Nazima Begum hai. Is bachchi ka kya name rakha jaye? Hamlogo ne alsaima naaz dicide kiya hai kya yeh sahi hai?

Khwaab ki ta'beer

Q: Meine khwaab mein 2 janaze dekhy. Saath hi saath kisi hindu ki arthi bhi jaty huye dekhi. Aur mein in janazon ke darmiyan se raasta paar kar rhi hoon. Meherbani farma ke is ka matlab bataye.

Pareshaani ke lia wazifa

Q: Mere behnoi saheb ki ek relative hai Jo unko boht azeez hai. Mere behnoi sahab ka dil saaf hai magar us ladki ka nhi. Wo meri behen ki zindagi me pareshani daalne ki koshish karti hai. Insab ki wajah se meri behen ki zindagi me bohot pareshani hai. Koi aisi dua ya wazeefa bataiye jisse wo ladki mere behnoi sahab ka peecha chor de. Aapki bari meherbaani hogi. Allah Hafiz.