Urdu Questions

Khwaab ki ta'beer

Q: Mera cousin wafaat paa chuka hai or wo jab bhi muje khawab me milta hai to muj se kehta hai ke muj se shaadi kare ga or muje aaj bhi chahta hai. Ap ne muje kaha ke is pe dehan mat do lekin muje is ki tabeer janni hai.

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine istekhara kiya tha kay falaa larka mery liye behtar hai ya nai tou maine khawab mai dekha ky hum apnay fsd waly ghar main hain aur hamsay milnay kay liye aik hamsai ati hain wo apni daughters kay baray mai batati hain, raat ka time hota hai mai asman par dekhti hoo tou, asman py sitaray hain, aik sitara hai wo bhut chamak raha hai aur osski roshni asman say zameen py hamsay agly ghar ky tharry py par rahai hai jaisy laser light aik seedh mai parrti hai. Maine oss roshni ky nechy hath rakha hai tou mjhy thandak mehsos hoi hai tou mainephoran pechy kaf liya hai.plz bata dein kay wo larka mery liye behter hai ya koi rakawat hai rishty mai aur agar hai tou koi wazeefa bata dien.

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine khuwab me apni marhoom nani ko dekha main kaheen ja rahi hoti hun to woik jaga bathi hoti hain or muje dekh ke khare hoti hain theek sehat me hoti hain main un ke gale lag ke bohat roti hun ke main un se bohat udas thi.

Ghusal karna dam ke paani se

Q: Mujh ko poochna hai ke jadu ke tor ke liye bataya hai ke chaar qul or ayatul kursi in sub ko ayk bar parh ke pani pe dam karo or dam wala pani
thora piyo baki bache pani se naha lo jadu khatam ho jaiga. Muj ko puch na hai ke dam ke pani nahate howe to gatar mai jaiga tu kiya hum ko gunha nahi mile ga kiya or naha sakte he ya nahi?

Qurbaani ke jaanwar

Q: Qurbaani ke janwar aur wo janwar jo hum routine sa zebha karte he, un main kia farq he? Kia qurbaani ke janwar ki roh bi bager sawal jawab ke fanah ho jae gi? Ager han to kewn? Ager nai to kewn? Insan ko qurbani ke janwar ka akrat main kia faida ho ga? Aur fayda pohnchane ke bad qurbani ke janwar ki roh kaha jae gi?