Urdu Questions

Biwi apne shohar se "ma tumhe talaaq nahi de sakta" kehne se rokna

Q: Aik jhagre me me ne talaaq ka mutalaba kiya ke aap mujhe 3 lafz bol ke talaaq de de. Is ke jawaab me mere shohar mujhe kehne wale the ke me tumhe talaaq nahi de sakta lekin jaise hi unho ne kaha "ma tumhe talaaq" me ne un ke mu pe zor se haath rakh ke mu band kar diya lekin unho ne mera haath hata kar apna jumla pora kiya ke "nahi de sakta" to kiya koi talaq hui mera un ke mu par haath rakh ke sentence rokne se? 

Biwi ko talaaq ka haq supurd karna

Q: Ayk moqe per me ne apne shohar se kaha aap mujhe chor den or wo teen alfaaz bol de to mere shohar ne kaha ke me nahi bolta tum bol do tumhare bolne se bhi ho jaye gi to kia talaq ka haq mujhe permenently tafweez ho gaya ya temporary? Ya sirf us place tak he jaise he place change hui right bhi loose ho gaya?