Urdu Questions

Zillat se nikana

Q: Main zillat se niklana chahti hoon log mere izzat nahin karte kya sari zindagi zillat ke samna rahe ga aur marne ke baad bhi kiya mere mathe par zillat likh di gayi hai kiya mujhe maafi nahi mil sakti?

Na paak kapre

Q: Me shahwat ki wajah se discharge ho gaya. Is se mere kapre napak ho gaye. Kia wo kapre kapron ke stand per latkane se stand ka wo hisa napak ho jaye ga? Kia uss stand ke hisse per ainda paak kapre nahe latka sakta aur kia mein napak kapron ke saath jahan per be betho ga ya letoo ga jesse kissi aur paak bed per sofa per motorcycle per to kia wo bhi napak ho jaye ga?

Meeraath

Q: Mere 5 bhai aur do behne hain aur meri walida mohtarma Alhamdulillah ba hayat hain jabke walid mohtaram wafat pa chukey hain.

Mere walid ke naam ek ghar hai aur kuch raqam hai. Ek adad gaari hai aur ghar ke kuch saman jo walid sahab ne kharide they wo hain.

Meri rehnumai farmaiye ke ghar walida ke naam hone ke baad aur sara saman bechne ke baad jo raqam hogi wo kis tarah taqseem hogi 5 bhaio 2 behno aur walida ke darmiyan?  

Zabaani talaaq ke ba'd tahreeri talaaq bhejna

Q: Mere husband nay mujhy 2014 me zubani aik talaq di, uska koi tehriri saboot nahi tha, phir rujoo hogaya. Phir 2017 me aik notice bheja jis pe first notice likhwa tha, phir rujoo hogaya. Phir 2019 me aik notice bheja jis pe talaq dome likha tha. Hum samjhay ke 3 hogae, magar ab wo kehta hain ke abi 2 talaq hoi han kyun ke meiny mufti or wakely se mashwara kar ke pehle notice bheja tha us talaq ka tehriri saboot jo ke zubani di the, kyun ke agar mein ny us notice me ye nahi likha ke aik zubani di ha ab ye bhej raha hon, ab kitni talaaq hui?

Tanhaai me kehna "agar mujhe talaq deni hoti toh mein ye kehta..."

Q:

1. Agar koyi akele/tanhai mein apne aapse bataya karein ya muzakarat kare aur kisi purani baat ko leke wo ye kahe apne muh se ke agar mujhe talaq deni hoti toh mein ye kehta “muje tumhare sath nahi rehna aur talaq bolta” toh kya usse talaq hogi jabke niyyat uski sirf apne dimagh mein jo porani batein arahi thi.

2. Agar insan ko aisi baato ka khiyal ata hai aur usse nahi yaad ke usne kiya bat boli khud se muzakarat karte mein toh kiya usse talaq hogi? Bas dimagh mein shak paida ho raha hai jabke usko yaqeen he ke usne aisa kuch nahi kaha.