Urdu Questions

Websites ke liye articles likna

Q: Me online articles likhta hu aur mere articles ki quality, aur mere articles par jo ads aate he uska mujhe paisa milta he. Lekin kai baar wo ads ache hote he jaise kisi online shopping sites ke ads aur kai baar mere articles par entertainment ke ads aate he yani acche bhi aur bure bhi dono ads aate hai. Mujhe ye jaanna he ke isse hone wali income mere liye halal hai ya haram kyunki mere articles par kabhi acche ads aate hai to kabhi koi entertainment ke ads aate hai. 

Website par adsense ka ads lagana

Q: Me aik website or aik youtube channel banana chahta hun. Me us pe adsence ke ads lagaounga. Me ne suna he ke internet se paise kamana haraam he. Log kehte he ke jo ads adsence wale lagaye gi sirf wohi ads lagtay he lekin ye baat ghalat hai. Ye hamare paas ikhtiyaar hota he ke hum khud ads ki categories ko change kar sakte he. Hum wo ads na lagaye jin par faahishi ho.

Biwi nikaah ke oopar doosri nikaah karna

Q: Shadi shuda aurat kisi dusri mard pe aashiq ho gayi aur us se najaiz ta'alluq bhi qaim kar liya. Wo apne husband ko pass tak nahi aane deti. Nikah to nahi toota lakin wo is nikaah ko tasleem bhi nahi karti is ka kiya koi hal bataien.

Nikaah ke oopr nikaah kiya ja sakta he kiya? Woh 5 month se apne husband ke pass bhi nahi gayi. Ab kiya us ki is doori ki wajah se nikaah barqarar he ya nahi?

Kisi ko qasam khaane par majboor karna

Q: Agar koi aap se zabardasti Quran ki kasam khilwaye ke aaj ke bad ye kaam nahi karna jab ke samne wala insan kasam khane ke liye taiyyar na ho or kasam kha ke wo bat ni karna chah raha ho phir bhi usko majbur kar ke Quran ki kasam khilwayi jaye to kiya us kasam pe amal karna zaroori hoga? Kyun ke mujhe har choti bat pe Quran ki kasam khilwai jati ha zabardasti un baton pe jis pe me amal ni karsakti pabandi se.