Urdu Questions

Easypaisa aur Jazz Cash jaise aacount kholna

Q: Ye jo aaj kal services chal rahi hain jesa ke Easypaisa, Jazz Cash jis mai aap account khol ke raqam jama kerwa sakte hain aur usay istimaal ker sakte hain mukhtalif jaga.

Easypaisa se aap khud apne mobile number pe balance easy load ker sakte hain un paison se jo aap ne apne Easypaisa account mai jama kiye huye hain. Saath wo aap ko cash back ki offer bhi dete hain. Jesa ke 500 ka load kero balance to 30 percent cash back dete hain jo ke 200 Rs banta hai. Yani aap ko 500 ka balance 300 ka mila.

Sawal mera ye hai ke kiya ye sab sood ke zamre mai aata hai?

Kiya ye services istimaal kerna jaiz nahi?

Kuch khareedne pe cash back ka matlab discount hua ya sood?

Qubooliyat ki alaamat

Q: Jaise Hajj ki adaige kay bad har insan gunahon se paak hojata he jaise peadish kay waqat. Pochna ye tha keh umrah ki adaige kay bad bhi aisi koi hukam moojod he ya nahi aur umrah ki qaboliyat ki kya aalamat hain?

Chupke me nikaah karna

Q: Nikah mai agar mard ki taraf se gawah na ho tu kiya aurat ki taraf se gawah paish ho saktai hain kiyun ke mard chahta hai ke dusri wife se shaadi karai lekin uski pehli wife ko pata na chalai na he us ke ghar walo ko?