Urdu Questions

Nikaah karne par teen talaaq muallaq karna

Q: Agar nikah sy pehly koi shart par talaq mu'allaq kardy masalan agar mai ne falan kaam kiya to mai jis sy nikah karu wo mujh par 3 bar talaq. Aur phir wo kaam kary phir dobara kahy ky agar mai ny ye kaam agar dobara kiya to dosre bar main jis sy shadi karo wo mujh par talaq. Aur phir wo kam us sy hojay aur phir wo kahy ky agar phir may ny ye kam kiya to teesre bar maire shadi jis sy howe us ko 3 talaq. Is tarah wo 100 bar talaq mashroot kary. Ab agar wo shadi karna chahy to kiya kary?

Kisi owr ke kitaab ko waapas karne ko bhool jaana

Q: Bandi ki saheli ki kitab bandi ke pas rakhi hay bandi ne use parhne ke ly li thi. Jitna yad parta ha tu bandi ne ek semester ke liye li thi. Aur bandi use wapis karna bhool jaty ha. Behshti Zewar me parha ha ke jitne din ke wade par layi thi itne din ke bad agar na phere gy tu jate rehne par tawan dena parega. Tu kia muje tawan dena hoga aur agar han tu kitna dena hoga?

Zindagi me beta ko makaan dena

س: یہ معلوم کرنا تھا أگر ایک باپ پلاٹ خرید کر اسمیں تھوڑی سی تعمیر بھی کرادے اور اسی طرح اپنے بیٹے کو رہنے کے لٕے دے اور کہے کہ باقی خود کما کر کرالو مجھ سے جو ہوا میں نے کردیا اب یہ بیٹا تعمیر مکمل کرإے اور رہنا شروع کردے أب ساتھ رہتے ہوٕے بھی والد کبھی نہ اس گھر میں داخل ہو اور نہ انا جانا رکھے بیٹے کا گلی میں دروازہ بھی الگ کردیا جإے وہ خود سب کماتا اور کھاتا رہے اب والد کا انتقال ہوگیا ہے کیا یہ مکان جو بالکل الگ کرکے دے دیا گیا تھا بٕیٹے کے لیے ھبہ شمار ہوگا یاوراثت میں شامل ہوگا ؟

Khushi ke beghair nikaah karna

Q: Mein mutalliqa hon mery husbnd ny muje talaq di ha on k mutabikq unho ny muje 3 dafa talaq dy di ha lekin mery parents 2 talaq hi consider karty aur phir se mera tajdeed e nikah karna chahty han. Mein aur mery husband razi ni han mery rishtedar mera nikah kisi aur jaga kar dena chahty han ta ke meri pichli married life ka chapter close ho jae.

Mera sawal yeh ha mein ny suna k mutalliqa larki apne liye behtar faisla kar sakti hai. Meri umr 30 sal ha is liye wali ki ijazat zarori nahi agar wali baap bhai ha tu rishtedar wali ki jaga ly ke mera nikah kr sakty han?

Pareshani ki wajah se ghar badalna

Q: Muje jis ghar mein rent par rehti hu wo kuch alimmo ne change karne kaha hai kyunki jab humne ghar liya tab kuch months baad se mere husband ko blood pressure ka issue ho gaya, aur mera ek preterm baby huwa tha wo bhi guzar gaya, aur kuch month baad muje hamal raha lekin woh bhi miscarriage hogaya, so aisa hai ke kya hame ghar change karna chaiye?

Ma baap se zaban daraazi karna

Q: Mujhe koi aisa amal bata dijie jisse me apne maa baap dono se zaban daraazi karna band kardu aap aisa karke mujhe dozak ka mustahiq hone se bachane ka zariya bn jaege. Mere dil ko ehsas hota he ye galat he me apni ammi ki har choti zarurat ka dhiyan rakhti hu khud se pehle unke liye sab karti hu lekin jab wo kuch kehti he tab nhi rok pati khud ko baad me afsos hota he ki ye kya kia dua bi karti hu esa na ho tab bi kuch nahi hota.