Urdu Questions

Khalwat se pehle talaaq

Q: Mera sirf nikah huwa hai or mere husband Lahore mi rhete hain wo mujh se milne aye or hum ne kiss bhe lakin koi na koi ajata tha lakin kbhe aisa moka nhe mila ya jaga nhe mili humbistari kar sakain hum room mai koi na koi ata rhta tha unho ne mujhe 3 bar talaq di hai ek he trha se mai tumhe talaq deta hu mai tumhe talaq deta hun mai tumhe talaq deta hun kya hmara nikah ho sakta hai dubara? 

Christian se charity lena

Q: Ma aik foundation ma job karta ho. Foundation ma bacho ka ilaj hota ha. kuch ka free hota ha aur kuch sa paisa leya jata ha. Paisa bohat kam leta jata ha. Foundation ma log zakat, sadqa aur general donation be data ha. Agar koi Christian be foundation ma charity deta ha tu kya la sakta ha? 

Ghair mahram se baat karna

Q: Kia khawateen mardoun sy guftugo karsakti hain agar wo gair mehram ho, aur jaisa k suna hai k aurat ki awaz ghar ki char dewari sy bahir nhi jani chaiye, kia ye sahi hai, because Nabi Muhammad sallallahu alaihi wasallam ka waqia hai k aik kafir aurat ap ka kachra phainkti thi, aur jab wo bimar hui tu ap oski kheriat maloom karnay oskay ghar tashreef lay gay thay, please rehnumai karain.