Urdu Questions

Zindagi me zameen ko bete ko dena

Q: Ham 4 behnai or 4 bhai hain or hamara 1 kanal ka plot tha mere walid ka. 3 marlai kaat liye gaye, 17 marlai pai ghar bana hai. Walid saheb ne plot 4 brothers ko de diya. Sisters ka hisa kya hoga is mai? Or mera aik bhai ghoom chuka hai. Uska hisa bi hoga or mere mother ka hisa bi hoga kiya? Agar sisters ka hisa hai tu aj ke dhor mai aik bhai ke ooper behan ka kitna hissa aye ga? Or uski maliyat kya hoge yani aik bhai aik behan ko kitni amount dega.

Talaaq ko mu'allaq karna

Q: Mere shohar ne aik br mjhr kaha k agr tm ne falan kam kia to tmhara mra rishta khtam ho jaye ga ma ne un se pocha aap ka matlab talaq h to unho ne kaha or kia ho ga jb k un ki niyat na aisa blkul ni tha unho ne jhot kaha ke or kia matlb ho ga phr unho ne kaha agr kabh kia ho ga to bh tumhara mera rishta khatam ho jaye ga. lekin un ki niyat ma ye nahi tha ke agr falan kam kia ho ga to tumhe talaq ha aisa ni tha or na he aisa tha k ma talaq de dun ga un ke halfia bayan ma kehna he ke ma ne talaq ki niyat se nahi kaha tha yeah... Jab ke me ne wo kam kia tha mazi ma or unhe bata bh dia unho ne maaf kar bh dia mujhe....to ab sawal ye he ke merr pochne pr jo inho ne kaha or kia matlab ho ga pr phr dobara yahe kaha k agr kia ho ga to bh rishta khtm ho jaye ga jb k ma me kam kia bh tha lkn un ki niyat talaq ki ni th to kia koi talaq waqae ho ge? Kia talaq ki niyat k jhoty iqrar de talaq waqae hti h? Kia mjhe un ki bt pr bhrosa kr lena chaiye?