Urdu Questions

Eyk surah ko baar baar parhna

Q: Kya surah muzamil zyda bar parhi ja sakti hy meny ye surah jab hifz ki to mera dil karta ky mein is ko bht zyda parhun mera is sy bht zyda dili lagao hy shuru shuru mein meny ye surah kabhi 41 bar parhti or aik din 100 bar parhi aik Hi time py mujhe sab mana karty ky is ko zyda tadad mein parhna nai chahey mein har farz namaz ky bad aik bar parhti or kabhi kabhi zyda tadad mein parhti ab mujhe is surah ky parhny sy bht sakoon milta lekin sab ki baton ki wajha sy kam parhti kya is ko zyda tadad mein parhny ki ijazat har insan ko hy?

Ihraam ka baandhna haidh ki haalat me

Q: Meri biwi umry py ai thi us ne umra kia or phr 10 din k liye madina me aa gye ham magr jab 10 din k bad jany lagy wapis madina to Meri biwi k ayam shuro ho gye yani menses start ho gye ab us halat me kia uska ahraam bandhna zarori tha madina pak waly meekat see ya nhi us nee to nhi bandha ahraam madina pak waly meekat see r sab ortin kahy rhi hin k aap par daam par gya he.

Meerath ki taqseem

Q: Mera sawal hai ke jab meray father 12 saal ke they tou meray dada nee aik Ghar un ke naam pe kharida or aaj bhi wo Ghar un ke naam pe hai or meray father shaheed hogaye Hain tou us Ghar me kya meray father ke bachon ke ellawa Kya un ke Bhai behnon ka bhi haq hoga?

Ibaadat ke liye waqt nahi

Q: Me ek IT company me working hu, married hu mjh bht hi kam tym milta h ibadat ka , kya aap mjh bata sakte h ki minimum kya ibadat zaruri h agr hmne roza rakha h to use pura krne k liye, me monday thursday ka nafil roza rakhti hu.

Isk alawa mera sabse badi parishani h ki mera man nhi krta namaz padne ko mere shoar b bht bolte h but me unk khne p padti b hu to adhe man se. ek saal phle tk mera niyam tha ki km se kam ek bar yaseen to pad hi leti thi but ab wo b dil nhi chahta kuch solution batae mjh khuda k kehar se dar to bht kgta ki na jane meri is harkt se kya saza milegi but tab b me pure man se kuch nhi kr pati.