Urdu Questions

Hareem naam rakhna

Q: Allah ne mujhe beti se nawaza hai ab maine os ka naam Hareem pasand keya hai lekin mere tableghi dost ne kaha hai ke ye naam sahi nahi koi aur naam rakh lay to es lye maine apse rajooh keya hai ke kia mai ye naam rakh sakta ho? agar nahi to pir mujhe acha sa naam tajweej farmaye.

Interest ke paise ka itimaal karna

Q: Mein ek private MNC company mein kaam karta hu mein kuch paise Fixed deposit mein rakha hai tax purposes and as investment mere family ke liye us FD se jo interest aata hai kya mein woh use kar sakta hu mein us FD par zakat bhi nikal ta hu aur abhi maine hamare arbi padane wale Hazrat see pucha tha hamare Hazrat puch kar bataya ki mein paise tax light bill bachhe ke school donation ke liye our other activity ke liye use kar sirf woh paise ghar mein use nahi kar sakta hu jaise khane pine ke liye

Imaam ke peech khaamosh rehna

Q: Jab hum Imaam ke peechay namaaz parhte he khaas tor par zohar or asar ki namaaz. Imam jab Allah hu Akbar kehta he phr wo sana parhta he. Phir wo apni tilawaat karta he. Kya hume apni tilwaat karni chahiye imaam ke peeche? Our doosra sawaal ye he ke surah faatiha teesri rakaat me parhni chahiye? Ya khamoshi ikhtiyaar karleni chahiye?