Urdu Questions

Khud kushi ka iraadah

Q: Maine pyar ki marriage ki thi aur mera ak bachha bhi he. Mere achhi job hi aur mere bivi koi bhi baat ni maanti. Main khud kushi karna chhahtta hun us ke siwa mere liye koi chhara nahi. Tu Allah pak kisse maafi maango. Kia Allah pak mujhe maaf karega? Isse majboori me mujhe karna chahe. Main bohot upset hun. Mere zindagi bohot kharab hogayi hi. Mere rehnumayi kare.

Company ka maal khareed kar kam qeemat me bechna

Q: Mere husband jis company mai kam kartay hain wo unko ik makhsus raqam dete hain koi product khareednay k liye. Mere husband ne us product ka discount code dhunda or kum price mai khareed lia ab jo raqm bachi hai wo khud rakh saktay hain ya company ko wapis de dain. Jab ke company ki pata hai ki product kum peso mai b khareedi ja sakti hai or hamare halat bhi ziada achay nahi qarz ki adaigi bhi karni hai or 4 bachay hain jin mai se 3 school age ke hain magar admission fee ki wajhe se nahi ja rahe.

Qasr namaaz

Q: Mai Saudia mai rehta hu aur kaam ke silsilay mai remote sites (city se bahar) pay jata rehta hu. Hamain kafi bar camp mai bhi rehna parta hy. Khabi 14-15 days ke liye. Khabi khabi aik month ke liye bhi. Camp se mery gar sy kaafi door hy. Jab mai camp mai rehta hu to mjy namaz qasr (safr ke namaz) adaa karni ho gi ya poori. Camp mai masjid bhi hy. Wahan jamat bhi hoti hay. Camp mai facilities bhi hain. Matlab building ke room mai attached bath ha, bed hy, kitchen wagaira sab hy.

Kisi ko ghar dene se woh meerath me daakhil nahi ho ga

Q: Mere mamo ne meri nani ko shadi se pehle 1 ghar le kar diya tha jo meri nani ke naam par hai. Ab mamo inteqal kar chuke hai or nani ke sirf 2 hi bache the ek beta or ek beti. Ab mamo ke inteqal ke bad unki biwi or bache nani ke ghar me se hisa mang rahe hai. Unka kehna yeh hai ke yeh ghar hamare baap ne dilaya tha.

Aap shariat ke lihaz se bataye ke is ghar ka asal owner kon hai or kya dadi ki property me potay ka hissa banta hai yah yeh ghar dadi apni beti ko de sakti hai kyun ke ab bete ke bad beti hi aulad me rehti hai.