Sher
Q: Ye sher kesa hai
Tum se pehly jo shakhs takht nasheen tha
Uss ko b apny Khuda hony py itna hi yaqeen tha
Q: Ye sher kesa hai
Tum se pehly jo shakhs takht nasheen tha
Uss ko b apny Khuda hony py itna hi yaqeen tha
Q: Kia Hazrat Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) ko kamli wala, kali kamli wala keh sakty hain?
Q: Agar bacha bemari ki waja se doodh na peye or orat ko breast mai doodh jama hone ki waja se pain hone lage or mard doodh suck ker k nikal dai halaq se neche na utare. To is ka kia hukum hy aesa kiya ja sakta hy ya gunah hoga?
Q: Wazahat sy rahnumai farmaiay ga. Kia deen may esa hy k jb orat kisi ki bivi bn jati hy to oski izzat khatam ho jati hy oski hesiyyat londiyon sy b bdtar hoti hy? kia deen islam ye kehta hy k bivi sirf bistar l liay hy osy kutton ki trh bs roti daal do or dum hilati rahay sari zindagi auaral may? jb k gharelo maamlat khawand ki tankhowah jama kharch jorna banana ya lutana srf amman or shadi shudah behnon k ikhtiar may hy? Pakistan jesa susrali joint family systm jahan kai ghair mehram mard orat k sr pr mandh diay jatay hn kia jayaz hy?kia orat ka huq nhi hy k oska sathi mukhlis eemandar dukh sukh ka sanjhi ho.or sb sy aakhir may bivi bachon ka huq maar kr sahib e hesiyyat shadi shudah behnon pr is trh lutana k wo or on k bachay roz naye naye jootay kapray pehen sakain on k parlors k kharchay chal sakain jb k bivi cheetharon may ghom rhi hy or osko koi sukh muyassar nhi kia khawand ka ye rawayya huq bajanib hy k wo kuch paisa jor kr bivi k sr pr aik chhatt tk nhi deta or osay joint susral may aik tng sy kamray may olaad samait tarpa raha hy. Plz mjy ye bata dain k nandon saas or suaral ki makjariyon or chalon k baray may islam ya sunnat kia kehti hy?ya itna nazuk pehlu tishna chhor dia gia hy.saas or shadi shudah nandon ki miyan bivi k beech kis hd tk dakhal andazi honi chahiay?
Q: Rahnumai farma dain k esa konsa amal hy jo mein kron ya zikr ya kalaam jis k parhnay sy meray marhoom walid ki rooh ko behad sawab pohonchay jiska aglay jahan may onko boht fyeda ho.
Q: Ye bta dy k zair e naaf k bal katne ka sharai masail kia h r kaha kaha in balo ko katna hoga? Q k hadees me ata h k jiska mafhoom ye h k jo 40 din tk na kaate wo gunahgaar hoga le haza ye sawal mene bagair sharmey ap sy pocha h?
Q: Mien bar bar khwab mn aik he chez dekhti hun k mera nikkah ho jata hai aur mn pachtati hun kam az kam 4 se 5 br yai khwab dekha hai .aik br dekha k zbrdasti hua, aik br dekha k majbor ker k kerwaya gaya' aur aik bar dekha k mn merzi se nikah kerti hun lekn har khuwab mn nikkah k bad pachtawa hota hai. aur mn pachtati hun k mn ny kya ker dia aur us larky ko yad ker k roti hun jis se me shadi kerna chahti hun.
Q: Jb ma master kr rhe the meri class main 2 larky thy jin k sath mera group tha study ki had tk... hum parhty thy sath main bs... lekin second last semester main kch asi batyn hoen k ma ny unko chor dya... but jb sy mera master khatm hua ha mjh wo dono ya un main sy ak larka mjh khuwab main zarur ata ha... ajeeb sa khuwab ata ha un k sath... khawab main ma b apny apko daikhti hn un k sath... is ki tabeer bta dyn... bar bar khwab ata ha mjh.
Q: Mere zehan mai Allah or Rasool (sallallahu alaihi wasallam) k bara mai buhat ganday khayal atay hain Naozobillah gustakhi walay. Mai buhat koshish ker k un se dhayan hatata hoon. Lakin Allah ka shukar hai kabhi zuban se kuch nhi kaha. Meharbani farma kr batain kia iman per kuch asar ho ga?
Q: Meri bari behn ne or mery chacha ky beta ne mery maa ka daodh pia ha hum 4 behn bhai ha in jis me meri bari behn 1 number par ha or me (Zeeshan) 3 number par ho or mery chacha ky 6 bachy ha jis me wo larka phly number par ha or doosra beta (Kiran) 4 number par ha ab msla ye ha ky me (Zeeshan) or Kiran ka nikkah jayez ha ya nhi?