Khwaab ki ta'beer
Q: Mein ny apni shaadi k liye istakhara kiya tha. Mein ny khawab mein daikha tha k raat ka waqat hai. boht andhera hai. mein ghar ja rahe hon. mgr ghar ka rasta nai mil raha. phr aagy aik rasta hai. us rasty mein 2 Sher bethy hain. mein unky qareeb sy guzar jati hon. thora aagy jaati hon daikhti hon k aik sher mery peechy Aata hai. wo mujh py jhapta aur meri Aankh khul gaye.. doosri dafa istakhara kiya to khawab mein Apny hathon py mehandi lagi howi daikhi.. mgr right hand ki mehandi left hand sy ziada achi the.. plzz mujhy khawabo ki tabeer bta dyn. aur meri madad b kar dyn.