Urdu Questions

Khwaab ki ta'beer

Q: Ma ne khwab ma apni mangni dekhi r hakekat ma ghar waly khty cousin k sath krni ha khwab ma b usi ko dekha apna mangetar lakin wo bad ma inkar krta ha lakin ma angothi b ni utarte r bad ma ma ne dekha k us k liye raita red mirch wala bna k bhejhte hun ma bht upset hun plz mjhy btain ye kia khwab ha

Khwaab ki ta'beer

Q: Main saudi arabia main kaam krta hu. kaam ki routine esi hai k raat 12 bajay khana khatay hain phir sotay sotay 3 baj jatay hain. batanay ka maqsad ye hai k khuwab shayad subha fajar k baad aya matlab din soye howay.

(Khwaab) Main ny khuwab main dekha k 1 barra sa maindak hai aur shayad (main ya koi doosra larka shakal yaad nhi) us ko maarnay ki koshish kr rha hoon. lekin maindak barri barri chhalangain laga kr 1 sabaz khait main chala jata hai. (main ya wo larka) b us k peechay bhagta hai rastay main mera taaya zaad couzin batata hai k wo maindak us taraf khait main gya hai. (main ya wo larka) us khait main chala jata hoon. maindak ko dhoondta hoon lekin maindak nhi milta. khait main kuch kisaan fasal kaat rahay hotay hain wo hans kr kehty hain wo bhaag gya ab tum b jao aur us sy bachna wo tum ko marnay aaye ga. pareshan ho kr (main ya wo larka) wapis ghar aa jata hoon. (haqeeqat main meri abhi shadi nhi hoi) ghar b pareshani rehti hai. raat ko (main ya wo larka) kamray main pareshan hota hoon to biwi kehti hai so jao. (us larki ka chehra b nazar nhi aata us ny red dress pehna hota hai). ab theek sy yaad nhi shayad wo larki kehti hai agr nahi sona to bahar chalay jao ya (main ya wo larka) khud kamray sy bahar aa jata hoon aur doosray kamray main chala jata hoon.shayad barish ho rahi hoti hai. lekin dil main khof hota hai k wo maindak yahi kahi hai aur mujy marnay aye ga. kuch samaj nahi aa rha kindly khuwab ki agr koi tabeer hai to bataen.

Khwaab ki ta'beer

Q: May ny dekha k meri ami kisi aurat ko gher ma lati h hmre gher s jadu ka asar khatm krvane lakin (us orat ko m ny phlr kabhi nhi dekha) wo jesay hi meri ankho m deikhti hai mai hawa m urdne lagti hun asay jesay mujh mai kisi wabai taqt ny hamla kr diya ho or mai us orat ko marne k liye bhagti hn wo bhag jati h dr k pr mai pore gher m urdti rhti hn mri ami tv p talawat lgati hai lakin m usi halt m hoti hn or unhy khti hn band kr dy phr mai ny dekha mer moun say khoon niklta hai or mai thek ho jati hn or ami sai kehti hu sari bemrio ny mjh prr sath hamla kr diya phir meri ankh khul gai

Khwaab ki ta'beer

Q: Mera aap say apni Walida ke Khwaab ke baare mein aapsay maaloomaat karna tha, Meray Walid Sahab ko Inteqaal huay 14 ho gaye. Do (2) din pehlay meray Ammi nay unay khwaab mein dekha waaqia aisay hai key khwaab mein meray Walida rastay say guzar rahay hain, aur saamne say Marhoom Walid sahab unkay saamne Muskuraa the huay aa rahay hain and meri Ammi say poocha ke aap kaisay hain, aur Ammi nay farmaya ke mein Theekh hoon, aur jawab me meray Marhoom walid saheb ne farmaya ke mein dekh raha hoon, anr kehthe huay woh wahan se chaldiyay aur woh paani ka pump ko chala they huay paani nikaal rahay hain, is waqiay ko meri Ammi apne logo se bayaan kar rahi hain ke maine unko dekha bohoth dino baad, aur achanak unki aankh khul gayi. Meharbani karke is khwaab ki taabeer batayen.

Haidh

Q:

1. Agr haiz se qabal (aik din k baad aur dosray din se qabal) halki boori ya halki peeli ratoobat aurat k aglay muqam se kharij ho to kia ye istehasa hai? Kia us se wuzu toot jai ga?

2. Kia jn kapron (clothes) pr wo laghay unhay pehan kr namaz ada kr saktay hain q k wo to irregular intervals k baad release hoti hai?