Q: Meri shaadi ko eight years hogaye he aur 3 bache he. Mera mehr mere susar jo mere chacha bhi he unho ne mera mehr lakh rupees mehr tay kiya tha baqada 30 logo ke darmiyan. Hamara taluq Azad Kashmir se he lekin hamari puri life Karachi me hi guzri ha to hum waha ja kar settle nahi hona chahti thi. Ye sab baate hum ne engagement wale din sab ke saamne ki thi or chacha ka business Karachi me hi settled he to unho ne yehi kaha tha ke koi zabardasti nahi hogi gaoun jane ke liye.
Phir two years theek guzar gaye shaadi ka time aaya phir mere furniture or baqi saman ki baat huwi to chacha yaha rakhne ko razi na huwe yani mere liye koyi room rent aur nahi liya (wo already rent pe choti se portion me rehte the) aur ye zid laga ki ke saaman Kashmir jayega to hi shaadi hogi warna rishta khatam. Apne bete se bhi kaha ke tum inko mana kariye me 20 din me apni sali se tumhare shadi karwadunga (ye note kijiyega ke mere chacha ne dusri shadi ki huwe he biwi ke marny ke baad) baat bohot bihar gayi sab relatives ne unhe jirga me bhi bulaya ta ke rishta khatam karne ki waja samjha lekin wo nahi aye or unki baat na maane par mere shoher ko ghar se galiyan de kar nikaldiya unke pass kuch nahi tha phir Allah ki madad se itna huwa ke this bohot saaman ke sath meri shadi hogayi lekin mehr ada na huwa. Mere husband bohot ache he mashAllah.
Ab mehr ka masla he ke wo mere susar ne tay kiya tha, kiya ye gunah chacha ko hoga ya mere husband ko?