Urdu Questions

Dost ke dukaan me investment karna

Q: Mera eik dost hai jo ke fabric me kaam karta hai sell purchase ka quantity main, main us main paise invest karta hoon, mujhy mere fix amount pe wo profit deta hai lekin wo profit up and down me rehta hai, kabhi 2 hazar kabhi 7 hazar to kabhi 10 hazar. Wo profit Islamic point of view se mere liya halal hai ya haram?

Eik aur baat, main wo profit amount phir us basic amount me add kar k dobara invest karleta hoon kabhi kabhi aur kabhi kabhi wapas ley leta hoon.

Do talaaq dena

Q: Mere aur mere husband ke jab bhi fight huwi mere husband ne bola ke me talaq behjwa dunga ya ja kar de dunga gussa ki halat me aur kuch hours bad jab hamari fight khatam hoti he to hum ek sath dobara hu jaty. Hume is baat ke ilm nahi tha ke aise bhi kehne se jati he jab se mene talaq ke bare me videos aur Surah Baqra aur Surah Talaq parhi. To me confuse hu ke kya meri talaq hu gayi jab ke hum dono ko nahi maloom thaa ke aise talaq hu jati he.

Dusra sawal ye k humari recent fight me mene mutalabah kiya talaq kiyun ke wo ghar se bahir ja re the gussa ki halat me aur muje unko rokna tha is halat me ghar se bahir jane ke leye to mene bola aap jaye ge to talaq de kar jaye to us par mere husband ne muje talaq ka word 2 time bola sirf gussa ki halat me ghar se bahir jane ke lye.

Meri koi talaq ki niyat nahi thi aur mere husband ne 2 baar just word talaq bola. To kya meri talaq hu gayi? Mere husband ka kehna he ke only mind me ye tha agar 3 bar bole ge to talaq ho gayi 2 bar nahi is liye unho ne 2 bar bola thaa. Is bat ko 3 day ho gayi he aur mere mind me shak agaya he ke talaq ko le kar me har roz un se pochti hu k aap ne mujhe talaq nahi de tu unho ne kaha nahi de gussa thaa wo. Mene kafi mufti ka video suna maslo par ke gussa me talaq hu jati he. 

Zina ke ba'd aurat ki ma, baiti ya behen se shaadi karna

Q:

1. Aik mard agar aik aurat se zina karta he to kia wo mard us aurat ki baiti se shadi kar sakta he?

2. Aik mard agar aik aurat se zina karta he to kia wo mard us aurat ki maa se shadi kar sakta he?

3. Aik mard agar aik aurat se zina karta he to kia wo mard us aurat ki behan se shadi kar sakta hy?

4. Wife ki behan sy zina karne se kia nikah toot jata he?