Urdu Questions

Talaaq ke baare me shak

س: میرا شک ہے کہ میں نے اپنے دل میں کچھ طلاق کے بارے میں کہا رہا تھا یا زبان سے مگر مجھ کو یاد نہیں کیا اس سے طلاق واقع ہو جاتا ہے 

Dil halka karne ke liye kisi ko apne pareshani bataana

Q: Agar me kisi masle se guzar rahi hu or wo baat me agar apni kisi dost ko bata do take mera dil halka hojaye to kiya wo theek hai? Aur mera masla agar family ki wajah se ho aur me apni dost ko bata du to kiya wo theek he ya nahi kyun ke me ne suna he ke wafa dar aurat wo he jo apne ghar ke aib kisi ko na bataye lekin insan par apna dil halka karne ke liye kiya kare?

Mustaqbil alfaaz se kiya talaaq hoti he?

Q:

1. Ek raat ko meri biwi se behs huwi aur mene use kaha “tum dekho me tumko subah paper behj dunga/behjta hu” toh kiya isse talaaq hogi?

2. Ye jo alfaz upar bole he kiya ye mustaqbil ke alfaz me shumar honge?

3. Akhri bat ye poochni he ke agar insan ki talaq ki niyat ho aur agar wo talaq alfaz mustaqbil ke alfaz ke saath ya wadah-e-talaaq ke alfaz ke saath kahe to kiya us case me talaaq hoti hai?