Urdu Questions

Razaa'at ki wajah se nikaah ki hurmat

Q: Ek shakhs ne do shaadiya ki. Doosri biwi ki do aulad he, ek beta aur ek beti. Ab pehli biwi ne doosri biwi ki beti ke beti ko apna doodh pilaya do mah ki umar me. To ab uss hi bache ki shadi doosri biwi ki beti yani apni phoupo ki beti say ho gai or us main say is ke do bache bhi ho gayi. Ab ja ke maloomat huwi ke pehli biwi ne dossri biwi ki beti ke beti ko doodh pilaya tha. To kiya ab un do ka nikah jaiz he? 

Online nikaah karna

Q: Mujhe nikaah karwana he magar surat yeh ke larki wale Sindh se Punjab nahi aa sakte aur na hi larke wale abhi Sindh ja sakte he. Agar nikaah ki online koi surat banti he to bata ye. Dono khandaan khush he.

Us larke se shaadi karna jis ka tumor he

Q: Meri shaadi ke liye ek proposal aaya he. 2.5 saal pehle hum saath kaam karte the. Hum ne ek doosre ko kabhi is nazar se nahi dekha na kabhi shaadi ka socha.

5th January ko uski taraf se shaadi ka proposal aaya he. Uski family bohot achi or cooperative he. Is Ramzaan hamara nikaah chahte he. Dono families ko koi objection nahi is shaadi se. Ek problem hai, teen ya chaar saal se us larke ke nose me tumor he jis ki wajah se kabhi kabhi usse saans lene me problem hota he. Hafta ya 10 days mai 1-2 dafa saans ka problem hota he. Koi medicine nahi leta khud thek hojata he. Doctor ne operation ka kaha he magar sath yeh bhi bataya he ke tumor again barhta he. Wo larka operation nahi chahta he kyun ke:

1. Tumor phir se barh jana he

2. Uska face kharab hojaega

3. Filhaal usse koi khaas masla nahi ho raha he

Is se meri family ko abhi tak is baat ka nahi pata. Shayed yeh jaan ke meri family is proposal ko na karde. Is baat pe mera yaqeen he ke marna jeena Allah ke ikhtiyaar me he magar mera sawal yeh he ke kiya sirf is bemaari ki wajah se is rishte ko inkaar karna thek he? Kyun ke is bimaari ke alawah baaqi sab thek he is proposal me. Me bohoot confused hu, please mujhe bata ye ke kiya karun? 

Meeraath

Q: If a man has two wives. One wife has 1 son and 1 daughter and the second wife has no children. Then the husband and two wives passed away. Pehle biwi ka hissa to us ke bacho ko mil gaya he. Seconf wifeka 1/8 property ka hissa kon lega? Doosri biwi ke ma aur baap dono zinda he aur 3 bhai bhi he.