Urdu Questions

Biwi nikaah ke oopar doosri nikaah karna

Q: Shadi shuda aurat kisi dusri mard pe aashiq ho gayi aur us se najaiz ta'alluq bhi qaim kar liya. Wo apne husband ko pass tak nahi aane deti. Nikah to nahi toota lakin wo is nikaah ko tasleem bhi nahi karti is ka kiya koi hal bataien.

Nikaah ke oopr nikaah kiya ja sakta he kiya? Woh 5 month se apne husband ke pass bhi nahi gayi. Ab kiya us ki is doori ki wajah se nikaah barqarar he ya nahi?

Kisi ko qasam khaane par majboor karna

Q: Agar koi aap se zabardasti Quran ki kasam khilwaye ke aaj ke bad ye kaam nahi karna jab ke samne wala insan kasam khane ke liye taiyyar na ho or kasam kha ke wo bat ni karna chah raha ho phir bhi usko majbur kar ke Quran ki kasam khilwayi jaye to kiya us kasam pe amal karna zaroori hoga? Kyun ke mujhe har choti bat pe Quran ki kasam khilwai jati ha zabardasti un baton pe jis pe me amal ni karsakti pabandi se.