Urdu Questions

Musaafir ke liye Mina me qasar ki namaaz adaa karna

Q: Mai apni maa k sath hajj pe gaya tha aur irada ye tha ke shayad humlog 14 din Makkah me rahenge, Mina rawangi se pehle, toh maine qasar ki namaaz ada karne bola. 15 din humlog Mina gaye magar waha mere sath jo log aaye the wo log puri namaaz parh rahe the jisse mai confuse hogaya bohot aur socha ke shayad mai ghalat hoon aur meri maa ne jo namaaze parhi mere bolne pe wo ghalat hogayi.

Mai bohot depress hogaya aur maine unse aur Allah se ro kar maafi mangi. Maine hajj ki date andaze pe internet pe dekhi thi aur us hisaab se maine 14 days calculate kiya aur wo alhamdullilah 14 days hi hue. Mujhe Islamic calendar aur imam saab se puchne ka khayal nahi aaya jis wajah se mai bohot hi ziyada confused hogaya logo ko dekh kar. Abhi mai shukrya ada kiya Allah ka ke maine jaisa calculation kiya wo saheeh huwa. Magar mujhe khayal aate rehta ki sahyad mujhe calendar ya local imam ko pehle puch lena chahye tha. Agar wo 14 din se ziyada hote toh mere puri namaze ghalat hojati.

Mujhe ye khayal aate rehte hai ki kaash maine ache se malumat ki hoti toh mai confusion me nahi girta tha. Abhi mai seekh raha hoon deeni masail magar jo kaam mai ache se kar sakta tha uska afsos hamesha rehta hai. Mai jaise jaise seekh raha hoon toh aise lagta hai ke shayad maine purane ibadat me ghalti ki hogi.

Le paalak (adopted) aulaad apne adopted waalidain se wiraasat milna

Q: Agar husband and wife ki koi aulad nahi hai magar unho orphanage se ek bacha adopt kiya hai tu maa ya baap main se koi mar jaye tu jayedaad main us bache ka kitna hissa hai aur ya koi aisa rasta hai ke apni zindagi main wasihat karde ke humare baad is jayedaad ka haqdaar yeh bacha hai.

Aur doosara sawal yeh hai ke ghar property mein husband aur wife ka barabar hissa hai tu agar dono main se koi ek mar jaye tu property main adopted bache ka kitna hissa hai? 

Allah say madad mang kar yeh keh sakte hain ke Allah koi ishara de dain?

Q:

1. Agar hamain hamari zindagi may aik kaam karny ki ashad zarurat pesh aaye usi waqt aur hamain khauf ho ke kahi yeh kaam ulta hi na ho jaye to kiya usi waqt hum Allah say madad mang kar yeh keh sakte hain ke Allah koi ishara de dain ke yeh kaam kar lo ya nahi.

2. Kisi kaam ko urgently karna ho aur us may nafa nuqsan ka pata na ho to kiya hum Quran wala istikhara kar sakte hain jis may hum Allah say madad mangte hain ke agar ye kaam karna theek he to (خ) ki tadad ziyada aye aur agar yeh kaam karna saheeh nahi he to (ش) ki tadad ziyada aye.

Bachcha baligh hote hi shadi karne ka hukum

Q: Bachcha baligh hote hi shadi karne ka hukum hai na yani 14 or 15 years age aur aaj ke modern science aur research ke mutabiq agar bacchi 19 saal ya usse kam me pregnant ho jati hai toh us ke kai saare bimariyan aane ka bahut ziyada chances hote hai jaise, 1. High blood pressure, 2. Kidney problem, aur khoon ki kami waghaira waghaira.

Aur iska bachche per ye asar hota hai hi baccha 40th week me hona hota hai aur wo 37th week me hojata hai jisse baccha poora organs ke sath paida nahi hota kyunki main organs akhri chaar haftoun me hi bante hai aur baccha bahut kam weight ka hota hai. Aur ye practically bhi sabit hai toh kya is wajah se nikah me takhir ki ja sakti hai. Aur Huzoor Paak sallahu alihi wasalam ke zamane me baligh hote hi shadi kardete the na toh jab ye problem thi ya nahi? 

Talaaq dene ke bad biwi ko paysa dene ki shart lagana

Q: Meri shaadi ko 5 saal ho gaei hein or ab ma ne apni biwi ko talaq de di hay... Lekin nikah register par kuch sharaait ke tor par likha huwa tha ke "Agar dulha talaq de ga to itni itni amount deni pare gi usse" Ab larki wale un peson ki demand kar rahi hein jo kawaaif main likhi huwi thi... Kia wo jaiz hein dena ya nahi? Or haq mehar ke bary main thori rehnumae farma dain.

Na baaligh ka esaal-e-sawaab

س: اگر کوئی مولوی صاحب کسی وفات پانے والے کے ایصال ثواب کے لئے دعا فرمائیں کہ مدرسہ میں پڑھنے والے بچے کی طرف سے دو قرآن مجید ایصال ثواب کئے کیا نا بالغ کا پڑھا ہوا ایصال ثواب ہو سکتا ہے؟