Urdu Questions

Company ko 10% dena product ke bechne ke liye

Q: Meri daraz (an online selling app) par hand craft ki shop hai. Saal bhar guzarny ke bawajood customers buhat kam hai. Daraz par aur buhat si shop hain jin ke paas buhat visitors aaty hain aur followers ki tadad lakhon me hai.

Ager me apni koi aik product kisi aisi shop ke paas rakh dun jinky customer buhat ziyada hain aur unse kahun ke wo total payment ka 10% le liya karen to kiya ye theek hoga? Jaisy ke agar wo meri koi 100 rupe ki product sell kar k dety hain to me unko 10 rupe unki services ke dun. Kia ye tarika durust hai?

Halaalah

Q: Mere husband ne mujhe 3 talaaq de di ghussay main to wo ab kehta hai ke tum wapis ajao mere haq main. To ab mujhe kya karna hai halaala karna hai? Us nay kaha tum nay kisi or mard ke sath 4 din lagatar hambisatari karni hai or maine wo kiya nikaah nahi parha us mard k sath.

Hamare dua kyu qabool nahi hoti?

Q: Hazrat Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) kay dor me koi Sahaabi kisi bhi pareshani me hota tha to wo Allah kay batay huay ya Hazrat Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) kay batay huay wazife pe kuch din amal karta tha to wo pura ho jata tha or wo Sahaabi us pareshani se nikal jate the.

Ab sawal ye hai kay aaj kal hum bohot gunehgaar insan hain. Hum me har qisam kay gunah kiye huay hain. Haram kahi na kahi khaya hua hota jab ke jis ne haram khaya ho us ki dua qabool nahi hoti. Hum sharte bi dosto se laga ke khaa pee leyte ye bi haraam me ajata... or bhi kuch aise kaam jis se insan pe pareshaniya aajati hain. Hum wo gunah karty hain... hum jab koi wazifa karty hain to humy us ka koi result nazar nahi ata...

Ab jesey kay me itny salo se apny rizqey halaal key liye kai wazify kaire, durood parh raha hun, magr abhi tak me bhi rozgar hun... Kia hamary wazify qabool nahi hoty hamary gunehgar hony ki waja se?

Iddat

Q: Mai 4.5 mah se apne maike mai hu. Is doran mere or mere shohar ke beech mai intercourse nahi huwa. Ab talaaq hone ki surat mai iddat ki kiya ahkaam hain?