Urdu Questions

Showhar biwi ko gussay may kehna "Jao mene tumhain azad kia"

Q: Agar shohar biwi ko gussay may kahay "Jao mene tumahain azad kia" tum farig ho meri taraf se" and kai bar kahay eik sath. Aur time to time like eik month ke bad bhi yehi ilfaz kahay. Phir again kch arsay ke bad kahay tu kia isse talaaq ho jati hai? Ayk aur bat add karna chahun gi. Bad me agar khaawind kahay ke meri talaq denay ki niyat nai thi but usne hamesha gussay me kahay ye ilfaz. To kia ye talaq ho gayi?

Khwaab ki ta'beer

Q: Me ne khwaab mai dekha ke mera couzn jis se meri pehle rishta hua tha ata hy mujhay bolta hy ao mere sth khari ho me ne shoes pehnay hotay hy heel walay kehta hy ye mat pehno mujh se lambi lagogi me dusri pehnti hoon to or us k sth ja k khari ho jati hoo baraber mai phr dekhti hoon apne marhoom abbu jaan ko dusri jaga wo bohat khush hotay hain chehra fresh or khila hua hota hy. Is khuwaab ki tabeer bata de.

Khwaab ki ta'beer

Q: Khwaab may main bestar main layta huwa hun ky achanak koi cheez meray uper ati hai aur main us per ayatul kursi parhta hun aur duno hatho say us bari cheez ko daba kar chota kar dayta hun phar main us ko dewar may phankta hu phir wo cheezz bari hu jaty hai phir main dor kar apnay abu ammi kay pass chala jata hun kindly as khawab ki tabeer bata dain.

Waalid bachcha ku bad dua dena

Q: Agar kisi ke walid (baap) ne apne bache ko bad-dua di ho aur sath me ye bhi kaha ho ke bap ki bad-dua wapis nahi aati, aur uska bacha shadeed bemaar ho jata hay aur kafi elaaj karane ke bawajood koi hal nahi hota. To aesi soorat me kya, kya jae? Agar bap ki bad-dua wapis nahi aati to is mushkil se kese nikla jae?

Khwaab me daant tootna

Q: Aap se apne khuab time tabeer malum karni the kafi arse se main ek he khuab dekh rahe hun aura would ye hai ke mere sare daant (teeth) tooth rahe hai aura ek ek kar ke bare aram se sare nikal gaye he. Aur muh main ek Nantes bhe nahe bacha. Please tabeer bata den?