Kiya yeh kufriya kalimaat he: "rizq Allah hi deta ha, mujay na bataye"?
Q: Me Germany me rehat ho. Meri aik dafa bari sister sa phone par baat ho rahi thi, ke Germany me lockdown lag gaya aur job chali gayi meri, tu meri sister ne kaha, bahir na nikla karo, rizq Allah dega. Mujay ghussa aa gaya, me na kaha mujay pata hai is baat ka right rizq Allah hi deta ha, mujay na bataye.
Agay me ne kaha chahe Pakistan ma ho ya Germany rizq Allah hi deta ha, lekin is ka matlab ya nahi aap ghar rest kartey instead aap mehnat karni chahiye.
Agay me ne kaha, Allah us ghoom halaat nahi badalta jo khud koshish nahi karti.
Mujay ab waswasay aata hai kahi me ne koi naazubillah koi kufria baat tu nahi kaha. Kindly mujay guide kar de.