Urdu Questions

Shohar ke intiqaal ke bad haqq-e-mahar aur shaadi ke sona ki taqseem

Q: Mere shohar ka intiqal ho chuka he aur iddat mukammal ho chuki he. Mere shohar ne mujhe haq meher ke allawa mooh dikhai par ek set pehenaya tha aur 6 churriyan walime par pehenai thi jo ke susral wale kehte he mushtaraka thi. Ab wo mera mooh dikhai ka set mere shohar ne jitne bhi sone ke tuhfe diye the aur churriyan wiraset mein taqseem karne ko keh rahe hen. Mere susral wale kehte hen ke haq meher ke allawa sab sona wiraset mein taqseem ho ga warison mein, bewa aur maa baap shamil hen. Aur salamiyon ke paiso ki mala banwai thi susral walon ne wo bhi le li ke hamari taraf se salamiyan ziyada thi. Quraan o hadees ki roshni mein meri rehnomai kare ke kiya ye sab tuhfe wiraset mein taqseem hote hen ya meri milkiyet he. Mere maa baap ne mere shohar ko 2 angothiyan ek rado ki gharri saas ko sone ka set nend ko sone ki angothi aur susar ko gharri pehenai thi. Is mein bhi meri rehnomai karen ke ye sab cheezen mere maa baap ko wapis hoti hen ya nai?

Asar ke bad tadfeen karna

Q: Asar ke bad jo ghuroob ka waqt he, us time tadfeen ki ja sakti he? Kal mere walid saheb ki tadfeen 5:20 pm se shuru huwi aur maghrib ki azan ke bad tak complete ho ke dua karai gayi. Kuch log kehte he ye theek tareqa nahi. Kuch kehte he ke theek he.