Urdu Questions

Haq-e-mahar ada karne se pehle biwi ke saat humbistari karna

Q: Kiya haq mehar pura ada na karne se biwi shohar ke liye haraam hojati hai? I mean to say k biwi ke sath shohar humastri kar sakta ya nahi?

Meri shadi ke waqat meri biwi ke haq mehar 10 hazar rupee our 7 tola gold the howa. Lekin me ne haq mehar me sirf 10 hazar rupee our 3.5 tola gold diya. Ab kiya mera nikaah theek hai? Kiya me biwi ke sath jima (humastri) kar sakta ho ya pehle muje sara haq mehar pay karna hota. Humari rukhsati ho chuki hai. 

Gari par zakaat

Q: Mere paas eik ghari hai apni zaati. Wo maine apny istemaal ke liye bhi aur taxi use ke liye bhi rajhi huwe hai. Kya muj par uss ghari ki total qeemat per zakaat farz hai ya nahi?

Tanhaai ke bad khula ya talaaq se iddat me bethna

Q: Nikaah huwa aur kuch der sath bhi time spend kiya... Bohot qareeb bhi huwe lekin jimaa ya mubasharat nahi huwi. Baaqi sab (kiss, hug) huwa. Is doran khula ya talaq ho to iddat ho gi jab ke jimaa nahi kiya?

Doosri baat yeh hai ke shohar apne sath le jaane ko tayar nahi, khud bhi Pakistan set nahi hona chah rahe to aisi surat me khula lena kaisa hai? Abi sirf nikaah huwa rukhsati nahi.

Qasam ko tornne ka kaffaarah

Q:

1. Mene kisi kaam ko na karne ke liye Allah se wada kiya ke nahi karunga. Tabhi dil me khiyal aaya ke agar wada tora to apni kuch property Allah ke naam par dunga. Ye bol du kitni property iska koi khiyal nahi aaya. Phir mene zuban se aisa nahi bola aur dimagh kisi aur kaam me laga liya thori der bad mene kaha ke me koi mannat nahi manuga kabhi bhi to kiya agar me wada torta hu to property deni hogi.

2. Aapse masla puchne ke liye type kiya aur zuban se bhi bola type karte huwe ke property Allah ke naam par dene ka khiyal aaya tha to kiya isse mannat hogayi?