Urdu Questions

Kiya kisi se madad talab karna kufr hai?

س: جو علماء انبیاء اور اولیاء سے غیر مستقل سمجھتے ہوئے مدد مانگنے کو جائز کہتے ہیں اور ان کی مدد کو محدود حادث اور فانی کہتے ہیں٫اور کہتے ہیں کہ وہ اگر ایک تنکا بھی دیں گے تو اس تنکا دینے میں بھی وہ اللہ کے محتاج ہیں۔

1- یہ عقیدہ گمراہی تو ہے لیکن کیا ایسے لوگ کافر و مشرک بھی ہیں؟

2- زید اگر انہیں کافر نہیں کہے گا تو کیا وہ خود کافر ہوجائیگا؟

3- زید اس عقیدے کو باطل سمجھتا ہے اور اختیار نہیں کرتا لیکن اختلاف کی وجہ سے کفر و شرک کہنے سے خاموشی اختیار کرتا ہے کیا اس سے زید کے ایمان پر کوئی فرق پڑے

Shohar apni biwi ko zaleel karna

Q: Mai ek working woman hu. Mere husband mujhse bohot rude aur roughly behave karte he. Baat baat par tangi aur zaleel karte he. Apne ghar walo ke saamne mujhe zaleel karte he. Mere mayke walo se ta'alukat khatm kar diye he aur mere ammi ne mujhe baho mushkil halat me padha kar job par le gaye he.

Shadi ke pehle se mai service par hu lekin mere shohar chahte he ki mai apni ammi aur baheno ki bilkul madad na karu. Zakaat ke paise bhi mai apni zarooratmand bahen ko nahi de sakti.

Please mujhe rasta dikhaye. Mai kiya karu? Mayke wale mujh se ummeed lagate he. Ab mai samajh nahi pa rahi kiya karu aur apne shohar se bhi mutanaffir ho gayi hu.

Hum ek hi ghar me rehye he lekin ek dusre se baat nahi karte. Mai apne shohar ke sath khush haal zindagi guzarna chahti hu hamare do bache bhi he. 

Jaanwar ki rooh kahaa jaati hai?

Q: Jo halaal janwer hum zabah karte hai aur wo halaal janwer jo khud kisi wajah se mar jate hai, unki roohen kahan jati hai? Mujhe halaal janwaron se bohot pyaar hai and I have a very soft spot in my heart for them. I cant see them in pain. Jis taarah aaj kal janwaron par zulm kiya jata he. Kiya unhe is cheez ka badla nahi diya jaye ga ke wo marne k baad achi zindagi guzar sake? Kiya un ke roohen kisi achi jagah par rehti hai jaise jannat me?