Urdu Questions

Qarz dena is shart par ke daftari ikhraajaat qarzdaar ke oopar he

Q: Pakistan me ak foundation ki taraf se karobar. Ghar banane ke liye paise diye jate he. Jo ghar banane ke liye 5 lakh rupee dete he 4 saal k kist par. Har month kist liye jata he. Masla ye he ke abhi 5 lakh dete he aur wapis 6 lakh lete he. Un ke sath ak fatwa bhi he.

Aap mujhe bataye ke ghar banane ke liye is se qarza le sakte he ya nahi? Un ka kehna he ke wo bila sood karze dete he aur ye jo ak lakh ziyada lete he wo un ke daftari ikhrajat he jo is kam ko process karte he.

Bila zaroorat qasam khana

Q: Mujh ko qasam khane ki beemari he. Wo bhi ziyada tar akele me aur cricket match dekhte huwe... matlab meri qasam ke alfaz ziyada tar isse hote he... Allah ki kasam agar aaj Muhammad Aamir ne 5 wickets le lee to Pakistan ye match jeet jaye ga. Kabhi kabhi ye baat puree nahi hoti. Ye bataye aisi qasam par kaffara ho ga ke nahi?

Eik shareek ko nuqsaan ka zimmedaar banana

Q: Me ne aik admi ke sath loss profit par business kya jis me mukhtalif logo ki investment thi jis admi ke sath karobar kya tha us ne khudkushi kar li ha jis ki waja say sara paisa dob gaya ha ab kyun ke meri wajah se logo ne paisa lagaya tha wo mere se mang rahe he jab ke paisa mere pass bhi nahi he jo un ko de sakoo profit 3 hisso mae taqseem hota he ab is ki shari haisiyat kya he?

Khana ka waqt Quraan Shareef ki tilaawat mobile par chalana

Q: Abhi khana khate huwe meri choti behen mobile me Pakistani serial dekh rahi thi to mene unse mobile le kar rakh diya ke chupchap khana khao. Tabhi ammi boli ke mobile me Surah Rahmaan chala lo. To mene bola ke khana khate huwe kuch chalana zaruri hai kya? To kya mere aisa kehna kalma e kufr hai kya? Mujhe apne ghar walo ke saamne tauba karni chahiye ya akele me tauba karu? Mene jab ye bola to me dar gaya kahin ye kalma e kufr to ni hai isliye mene Surah Rahmaan chala di.